Kya Dekhte Ho lyrics – Qurbani
Song | Kya Dekhte Ho |
Singer(s) | Asha Bhosle, Mohammed Rafi |
Composer | Kalyanji-Anandji |
Lyrics | Indeevar |
Movie | Qurbani (1980) |
Kya Dekhte Ho
[Kya Dekhte Ho, Soorat Tumhari
Kya Chaahte Ho, Chaahat Tumhari
Na Hum Jo Keh Dein, Keh Na Sakogi
Lagti Nahi Theek Neeyat Tumhari] –(2)
Kya Dekhte Ho, Soorat Tumhari
Roz Roz
Roz Roz Dekhu Tujhe, Nayi Nayi Lage Mujhe
Angon Me Amrit Ki Dhaara
Tere Angon Me Amrit Ki Dhaara
Dil Lene Ke Dhang Tere, Seekhe Koi Rang Tere
Baaton Ka Andaaz Pyara
Teri Baaton Ka Andaaz Pyara
Sharaarat Se Chehra Chamakne Laga Kyun –(2)
Yeh Rang Laayi Hai Sangat Tumhari
Kya Dekhte Ho, Soorat Tumhari
Socho Zara
Socho Zara, Jaan-e-Jigar
Beetegi Kya Tumpe Agar
Humko Jo Koi Chura Le
Tumse Humko Jo Koi Chura Le
Kisi Ne Jo Tumhe Chheena
Naamumkin Hai Uska Jeena
Kaise Nazar Koi Daale
Tumpe Kaise Nazar Koi Daale
Pyar Pe Apne Itna Bharosa –(2)
Mitna Mohabbat Me Fitrat Hamaari
Kya Dekhte Ho, Soorat Tumhari
Kya Chaahte Ho, Chaahat Tumhari
Na Hum Jo Keh Dein, Keh Na Sakogi
Lagti Nahi Theek Neeyat Tumhari
Kya Dekhte Ho, Soorat Tumhari