Pakeeza lyrics – 1:13:7 Ek Tera Saath
Song | Pakeeza |
Singer(s) | KK, Swati Sharma |
Composer | Liyakat Ajmeri |
Lyrics | Ahmed Siddiqui |
Movie | 1:13:7 Ek Tera Saath (2016) |
[Tere Mere Dil Ka Rishta
Pakeeza Pakeeza
Ishq Mukammal Apna Poshida] –(2)
Khwaabon Ki Gulposhi Hai
Firdausi Firdausi Hai
Zehan Ki Parwaazon Me
Ajab Si Madhoshi Hai
Aye Khuda, Tera Shukriya Shukriya
Teri Adaa Karu Kya Bayaan
Khulti Nahi Meri Yeh Zubaan, Yeh Zubaan
Tu Hai Bada Bada Meharbaan
Meharbaan Meharbaan Meharbaan –(2)
Tu Hi Tu, Tu Hi Tu…
Darmiyan Koobakoo Chaarsu Tu Hi Tu
Tu Hi Tu, Tu Hi Tu…
Aasmaan, Yeh Zameen
Jaise Tham Si Gayi
Ek Nayi Daastaan Ab Shuru Ho Gayi
Naser Hadein, Na Bandishein
Poori Hui Sab Khwaahishein
Mushki Fizaayein Hain Surmaayi
Kaano Me Jaise Kuchh Keh Gayi
Sabr Dil Ka Toota Tha
Rooh Thi Tarsi Tarsi
Rehmatein Arshi Arshi
Humpe Hain Barsi Barsi
Aye Khuda, Tera Shukriya Shukriya
Teri Adaa Karu Kya Bayaan
Khulti Nahi Meri Yeh Zubaan, Yeh Zubaan
Tu Hai Bada Bada Meharbaan
Meharbaan Meharbaan Meharbaan –(2)
Mastiyan Madhbhari In Nigaahon Me Hai
Tu Hi Dil Me Mere, Tu Hi Baanhon Me Hai
Hum Do Parindon Ki Ek Hai Dagar
Ud Jaayenge Hum Toh Chaahat Ke Ghar
Labon Ki Sharaarat Hai Josh Me
Yeh Hum Par Hai Laazim, Rahein Hosh Me
Haathon Me Haath Haath Hai
Wallah, Kya Baat Baat Hai!
Nematon Ka Haasil Yeh
Ek Tera Saath Saath Hai
Aye Khuda, Tera Shukriya Shukriya
Teri Adaa Karu Kya Bayaan
Khulti Nahi Meri Yeh Zubaan, Yeh Zubaan
Tu Hai Bada Bada Meharbaan
Meharbaan Meharbaan Meharbaan –(4)