Zara Muskura lyrics – Chhota Bheem and the Curse of Damyaan
Song | Zara Muskura |
Singer(s) | Shaan, Kiaan Sachar, Riaan Rosemeyer, Simar Singh |
Composer | Raghav Sachar |
Lyrics | Kunwar Juneja |
Movie | Chhota Bheem and the Curse of Damyaan (2024) |
Khaamosh Kyun Ho, Kya Sochte Ho
Jo Chaahte Ho, Mil Jaayega
Maana Ke Mushkil Bhara Waqt Hai Yeh
Karlo Yakeen Tum, Badal Jaayega
Dekho, Hawa Me Yeh Udte Sitaare
Khwaabon Ki Duniya Me Jee Lo Zara
Kabhi Jo Kisi Ne Na Dekha Suna Hai
Woh Sab Yahan Hai Yahan Har Jagah
Hum Saath Hain Toh Kyun Hai Fikar
Andheron Ke Aage Hai Sooraj Ka Ghar
Hamein Jeetna Hai, Hamein Hai Pata
Gumsum Hai Kyun, Tu Zara Muskura
Zara Muskura, Tu Zara Muskura
Dekho, Hawa Me Yeh Udte Sitaare
Khwaabon Ki Duniya Me Jee Lo Zara
Kal Tak Jo Baadal Dikhe Aasmaan Pe
Neeche Woh Ab Dikh Rahe Hain
Bahut Khoobsurat Lage Hai Nazaara
Panchhi Bhi Kuchh Keh Rahe Hain
Hamein Dikh Raha Hai Naya Sa Jahaan
Sapno Ki Duniya Dikhe Hai Yahan
Hamein Jeetna Hai, Hamein Hai Pata
Gumsum Hai Kyun, Tu Zara Muskura
Zara Muskura, Tu Zara Muskura
Dekho, Hawa Me Yeh Udte Sitaare
Khwaabon Ki Duniya Me Jee Lo Zara
Gumsum Hai Kyun, Tu Zara Muskura
Zara Muskura, Tu Zara Muskura