Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai lyrics – Mohammed Rafi
Song | Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai |
Singer(s) | Mohammed Rafi, Deven Verma |
Music | Ravi |
Lyrics | Verma Malik |
Movie | Aadmi Sadak Ka (1977) |
Ameer Se Hoti Hai
Gareeb Se Hoti Hai
Door Se Hoti Hai
Kareeb Se Hoti Hai
Magar Jahan Bhi Hoti Hai
Aye Mere Dost, Shaadiyan Toh
Naseeb Se Hoti Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
Yaar Ki Shaadi Hai
Mere Dildaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
Lagta Hai Jaise Saare
Sansaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
Waqt Hai Khoobsurat
Bada Shubh Lagan Muhoort
Dekho Kya Khoob Janchi Hai
Dulhe Ki Bholi Soorat –(2)
Khushi Se Jhoome Hai Mann
Mila Sajni Ko Saajan
Kaise Sanjog Mile Hain
Choli Se Bandh Gaya Daaman –(2)
Ek Maasoom Kali Se
Mere Gulzaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
O Sun Mere Diljaani
Teri Thi Yeh Jawaani
Shuru Ab Hone Lagi Hai
Nayi Teri Zindagaani –(2)
Khushi Se Kyun Itraaye?
Aaj Tu Humein Nachaaye
Waqt Woh Aane Wala
Dulhaniya Tujhe Nachaaye –(2)
Kisi Ke Sapno Ke
Solah Singaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
[Taare Tod-Tod Laaun
Tere Sir Ko Sajaaun
Phool Raahon Me Bichhaunga
Main Pyar Ke] –(2)
Phool Raahon Me Bichhaunga
Main Pyar Ke
Aaj Lunga Main Balaayein
Dunga Dil Se Duaayein
[Daal Gale Me Yeh Baahein
Ab Yaar Ke] –(2)
Ek Chaman Se Dekho
Aaj Bahaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
Yaar Ki Shaadi Hai
Mere Dildaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)
Lagta Hai Jaise Saare
Sansaar Ki Shaadi Hai
Aaj Mere Yaar Ki Shaadi Hai –(2)