Kanyadaan (1968)

Likhe Jo Khat Tujhe lyrics – Kanyadaan

SongLikhe Jo Khat Tujhe
Singer(s)Mohammed Rafi
MusicShankar–Jaikishan
LyricsNeeraj
MovieKanyadaan (1968)

[Likhe Jo Khat Tujhe Woh Teri Yaad Me
Hazaaron Rang Ke Nazaare Ban Gaye] –(2)

Savera Jab Hua Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitaare Ban Gaye

Likhe Jo Khat Tujhe..

Koi Nagma Kahin Goonja
Kaha Dil Ne Yeh, Tu Aayi
Kahin Chatki Kali Koi
Main Yeh Samjha, Tu Sharmaayi

Koi Khushboo Kahin Bikhri
Laga Yeh, Zulf Lehraayi

Likhe Jo Khat Tujhe Woh Teri Yaad Me
Hazaaron Rang Ke Nazaare Ban Gaye
Savera Jab Hua Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitaare Ban Gaye

Likhe Jo Khat Tujhe..

Fiza Rangeen, Adaa Rangeen
Yeh Ithlaana, Yeh Sharmaana
Yeh Angdaayi, Yeh Tanhaayi
Yeh Tarsa Kar Chale Jaana

Bana Dega Nahi Kisko
Jawaan Jadoo Yeh Deewana

Likhe Jo Khat Tujhe Woh Teri Yaad Me
Hazaaron Rang Ke Nazaare Ban Gaye
Savera Jab Hua Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitaare Ban Gaye

Likhe Jo Khat Tujhe..

Jahan Tu Hai, Wahan Main Hoon
Mere Dil Ki Tu Dhadkan Hai
Musafir Main, Tu Manzil Hai
Main Pyasa Hoon, Tu Saawan Hai

Meri Duniya Yeh Nazrein Hain
Meri Jannat Yeh Daaman Hai

Likhe Jo Khat Tujhe Woh Teri Yaad Me
Hazaaron Rang Ke Nazaare Ban Gaye
Savera Jab Hua Toh Phool Ban Gaye
Jo Raat Aayi Toh Sitaare Ban Gaye

Likhe Jo Khat Tujhe..

Similar Song Lyrics