Tu Jaane Na lyrics – Ajab Prem Ki Ghazab Kahani
Song | Tu Jaane Na |
Singer(s) | Atif Aslam |
Music | Pritam |
Lyrics | Irshad Kamil |
Movie | Ajab Prem Ki Ghazab Kahani (2009) |
Kaise Batayein, Kyun Tujhko Chaahein
Yaara, Bata Na Paayein
Baatein Dilon Ki Dekho Jo Baaki
Aankhein Tujhe Samjhaayein
Tu Jaane Na, Tu Jaane Na –(2)
Mil Ke Bhi Hum Na Mile
Tumse, Na Jaane Kyun
Meelon Ke Hain Faasle
Tumse, Na Jaane Kyun
Anjaane Hain Silsile
Tumse, Na Jaane Kyun
Sapne Hain Palkon Tale
Tumse, Na Jaane Kyun
Kaise Batayein, Kyun Tujhko Chaahein
Yaara, Bata Na Paayein
Baatein Dilon Ki Dekho Jo Baaki
Aankhein Tujhe Samjhaayein
Tu Jaane Na, Tu Jaane Na –(2)
Nigaahon Me Dekho Meri
Jo Hai Bas Gaya
Woh Hai Milta Tumse Hubahu
Jaane Teri Aankhein Thi
Ya Baatein Thi Wajah
Hue Tum Jo Dil Ki Aarzoo
Tum Paas Ho Ke Bhi
Tum Aas Ho Ke Bhi
Ehsaas Ho Ke Bhi Apne Nahi
Aise Hain Humko Gile
Tumse, Na Jaane Kyun
Meelon Ke Hain Faasle
Tumse, Na Jaane Kyun
Tu Jaane Na, Tu Jaane Na –(2)
Jaane Na, Jaane Na, Jaane Na
Haan.. Tu Jaane Na
Khayaalon Me Laakhon Baatein
Yun Toh Keh Gaya
Bola Kuchh Na Tere Saamne
Hue Na Begaane Bhi Tum
Ho Ke Aur Ke
Dekho Tum Na Mere Hi Bane
Afsos Hota Hai, Dil Bhi Yeh Rota Hai
Sapne Sanjota Hai Pagla Hua
Soche Yeh Hum The Mile
Tumse, Na Jaane Kyun
Meelon Ke Hain Faasle
Tumse, Na Jaane Kyun
Anjaane Hain Silsile
Tumse, Na Jaane Kyun
Sapne Hain Palkon Tale
Tumse, Na Jaane Kyun
Kaise Batayein, Kyun Tujhko Chaahein
Yaara, Bata Na Paayein
Baatein Dilon Ki Dekho Jo Baaki
Aankhein Tujhe Samjhaayein
Tu Jaane Na, Tu Jaane Na –(5)