Sar Se Sarke lyrics – Silsila
Song | Sar Se Sarke |
Singer(s) | Lata Mangeshkar, Kishore Kumar |
Music | Shiv-Hari |
Lyrics | Hassan Kamal |
Movie | Silsila (1981) |
[Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me] –(2)
Oh Maiya, Gaaye Sajan
Behna Ho Ke Magan Naache Sakhiyon Me
Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Oh Maiya, Gaaye Sajan
Behna Ho Ke Magan Naache Sakhiyon Me
Naino Me Nindiya, Nindiya Me Sapne
Sapno Me Saajan Jab Se Basa
Bahaarein Aayi Jeevan Me
Nayi Halchal Hai Tann Mann Me
Ek Roop Basa Hai Ankhiyon Me, Ho..
Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Kuchh Lamhein Jeevan Ke Chura Lein
Saanson Ki Yeh Aag Bujha Lein
Duniya Se Door Nayi Duniya Basa Lein
Jab Se Mili Hai Tujhse Nigaahein
Jadoo Yeh Kaisa Mujhpe Hua
Ke Dil Jab Tanha Lagta Hai
Mujhe Kuchh Aisa Lagta Hai
Tu Jhaank Raha Hai Ankhiyon Me, Ho..
Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Aaj Ka Har Ek Pal Sundar Hai
Kal Kya Ho, Kisko Yeh Khabar Hai
Lamba Safar, Zindagi Mukhtsar Hai
Darr Lag Raha Hai, Kya Jaane Kya Ho
Dil Tujhko Maine Jab Se Diya
Udi Hain Neendein Aankhon Se
Teri Aisi Hi Baaton Se
Badnaam Hui Hoon Sakhiyon Me, Ho..
Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Oh Maiya, Gaaye Sajan
Behna Ho Ke Magan Naache Sakhiyon Me
Naino Me Nindiya, Nindiya Me Sapne
Sapno Me Saajan Jab Se Basa
Bahaarein Aayi Jeevan Me
Nayi Halchal Hai Tann Mann Me
Ek Roop Basa Hai Ankhiyon Me, Ho..
Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Taaron Se Yeh Maang Saja Doon
Honthon Pe Ek Phool Khila Doon
Tere Liye Saari Duniya Bhula Doon
Mehkega Saara Gulshan Hamaara
Dil Ka Sahaara Baahein Teri
Khushi Se Hari Bhari Hogi
Yeh Duniya Teri Meri Hogi
Ek Phool Khilega Baghiyon Me, Ho..
[Sar Se Sarke Sar Ki Chunariya
Laaj Bhari Ankhiyon Me
Oh Maiya, Gaaye Sajan
Behna Ho Ke Magan Naache Sakhiyon Me] –(2)