Jaan-E-Mann (2006)

Humko Maaloom Hai lyrics – Jaan-E-Mann

SongHum Ko Maaloom Hain
Singer(s)
Sonu Nigam, Sadhana Sargam
MusicAnu Malik
LyricsGulzar
MovieJaan-E-Mann (2006)

Mohabbaton Me Jeene Wale Khushnaseeb Hain
Mohabbaton Me Marne Wale Bhi Ajeeb Hain
Azeem Hai Hamaari Daastaan, Jaan-e-Mann
Faaslon Pe Rehte Hain Lekin Kareeb Hain

[Humko Maaloom Hai, Ishq Maasoom Hai
Dil Se Ho Jaati Hai Galtiyan
Sabr Se Ishq Mehroom Hai] –(3)

Jaan-e-Mann, Jaan-e-Mann…

Hua Jo Zamaane Ka Dastoor Hai
Mom Maani Nahi, Dad Naraaz Tha
Meri Barbaadiyon Ka Woh Aaghaaz Tha
Ishq Ka Ek Hi Ek Andaaz Tha

Woh Na Raazi Hue, Hum Bhi Baaghi Hue
Bekaraar, Hum Faraar Ho Gaye

Humko Maaloom Hai, Ishq Maasoom Hai
Dil Se Ho Jaati Hai Galtiyan
Sabr Se Ishq Mehroom Hai

Main Pareshaan Hoon Ek Majboori Par
Hoga Gham Jaankar, Saath Hoon Main Magar
Mujhko Rehna Padega Zara Doori Par
Sirf Do Hi Maheene Hain, Seh Lo Agar

Mera Future Hai, Teri Kasam
Mera Future Hai Isme Piya

Humko Maaloom Hai, Ishq Maasoom Hai
Dil Se Ho Jaati Hai Galtiyan
Sabr Se Ishq Mehroom Hai

Waqt Se Haara, Lauta Jo Main
Laut Kar Apne Ghar Ja Chuki Thi Piya
Phone Karta Raha, Phone Bhi Na Liya
Maine Khat Bhi Likhe, Saal Bhar Khat Likhe

Meri Aawaz Pahunchi Nahi
Kho Gayi Meri Piya Kahin

Mujhko Ummeed Thi, Ek Din Toh Kabhi
Woh Bhi Aawaz Degi Mujhe

Humko Maaloom Hai, Ishq Maasoom Hai
Dil Se Ho Jaati Hai Galtiyan
Sabr Se Ishq Mehroom Hai

Similar Song Lyrics