Aashiqui Mein lyrics - Prateek Walia

Haunted 3D: Echoes of the Past (2026)

SongAashiqui Mein
Singer(s)Prateek Walia
ComposerPrateek Walia
LyricsPrateek Walia
MovieHaunted 3D: Echoes of the Past (2026)

Sun Raha Hoon Main Teri Saari Hasratein
Chhoo Rahi Mujhe
Narm Honthon Ki Khwaahishein

Aa, Bujha Dein Sabhi Chaand Taare
Mil Ke Baanhon Me Dil Ko Jala Lein
Khalti Mujhko Badi Hai Yeh Doori
Mere Maula, Isey Tu Mita De

[Aashiqui Me Hi Do Dil Yeh Doobe
Aashiqui Me Bichhad Yeh Bhi Jaaye
Kya Hi Chaahta Hai Humse Khuda Yeh
Jo Na Milta Hai, Usko Hi Chaahe] –(2)

Dekh Saath Tera Na Mila Toh
Mera Jeena Yahan Bewajah Hai
Aye Khuda, Teri Duniya Tu Rakhle
Woh Nahi Toh Yahan Mera Kya Hai

Meri Saanson Par Haq Hai Tera
Tumse Daastaan Shuru, Tumpe Fanaa

[Aashiqui Me Hi Do Dil Yeh Doobe
Aashiqui Me Bichhad Yeh Bhi Jaaye
Kya Hi Chaahta Hai Humse Khuda Yeh
Jo Na Milta Hai, Usko Hi Chaahe] –(2)

Prateek Walia
← Previous Song Next Song →