Aawaara Angaara lyrics - Tere Ishk Mein
Tere Ishk Mein (2025)
| Song | Aawaara Angaara |
| Vocals | Faheem Abdullah |
| Composition | A.R. Rahman |
| Lyrics | Irshad Kamil |
| Movie | Tere Ishk Mein (2025) |
Teri Kaaynaat, Mere Khaali Haath
Aur Taar Taar Sapne
Gaye Zakhm Jaag Mere Seene Aag
Lagi Saans Saans Tapne
Teri Kaaynaat, Mere Khaali Haath
Aur Taar Taar Sapne
Dardon Se Choor Gham Ka Guroor
Kahu Kya Main Haal Apne
Aawaara Aawaara
Aawaara Angaara
Raaton Me Dooba
Ambar Ka Banjaara
Jaane Toota Kyun
Main Sheesha Na Taara
Teri Kaaynaat, Mere Khaali Haath
Aur Taar Taar Sapne
Gaye Zakhm Jaag Mere Seene Aag
Lagi Saans Saans Tapne
Koi Udhaari Hai
Seene Pe Bhaari Hai
Patthar Hai Ya Dil Hai
Main Hi Akela Hoon
Main Hi Toh Mela Hoon
Yeh Kaisi Mehfil Hai
Roothe Savere Hain
Aadhe Yeh Mere Hain
Aadhe Hain Yeh Tere
Tu Hai Nigaahon Me
Laava Hai Aanhon Me
Par Sard Shaam Ghere
Aawaara Aawaara
Aawaara Angaara
Aansoo Hain Mere
Ya Pighla Hai Paara
Jaane Toota Kyun
Main Sheesha Na Taara
Mera Imtehaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyaayatein Kar
Maine Ishq Seekha, Maine Pyaar Seekha
Tu Chaahe Nafratein Kar
Maine Dil Diya Hai
Maine Dukh Liya Hai
Tu Saudaayi Maanle Par
Mera Imtehaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyaayatein Kar
Aawaara Aawaara
Aawaara Angaara
Raaton Me Dooba
Ambar Ka Banjaara
Jaane Toota Kyun
Main Sheesha Na Taara
Mera Imtehaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyaayatein Kar
Maine Ishq Seekha, Maine Pyaar Seekha
Tu Chaahe Nafratein Kar