Adhoora lyrics - Prateeksha Srivastava
Singles
| Song | Adhoora |
| Vocals | Prateeksha Srivastava |
| Composition | Prateeksha Srivastava |
| Lyrics | Prateeksha Srivastava |
| Year | 2025 |
Aadha Adhoora
Adhoora Sa Izhaar Hai
Kehna Bahut Hai
Yeh Dil Phir Bhi Laachaar Hai
Laazmi Toh Nahi
Main Tum Jaisi Toh Nahi
Khul Ke Jeena Mujhe
Jaane Kyun Aata Nahi
Khud Ki Salaakhon Me Hui
Kaid Hui.. Kaid Hui..
Chhipte Chhipaate Main Logon Se
Chalti Rahu, Jaane Kyun
Haath Badhaaye Koi Toh
Main Munh Mod Loon, Jaane Kyun
Laazmi Toh Nahi
Tum Jaise Ho, Main Woh Nahi
Khul Ke Jeena Mujhe
Aaj Tak Aaya Nahi
Khud Ki Salaakhon Me Hui
Kaid Hui.. Kaid Hui..
Kya Kahu, Kya Na Kahu
Yeh Bechainiyan Jaati Nahi
Cheekh Loon Jee Bhar Ke Main
Aisa Bhi Din Aaye Kabhi
Khul Ke Jeena Mujhe
Kya Pata, Aaye Kabhi
Khud Ki Salaakhon Me Nahi
Ab Rehna Nahi