Afsaana Banaaya Aapne lyrics - Gunmaaster G9

Gunmaaster G9 (2026)

SongAfsaana Banaaya Aapne
VocalsHimesh Reshammiya, Asees Kaur
CompositionHimesh Reshammiya
LyricsHimesh Reshammiya
MovieGunmaaster G9 (2026)

Afsaana, Afsaana..

Baat Jism Ki Thi Nahi
Rooh Tak Hamein Jaana Hai
Maamla Yeh Dil Ka Hai
Ishq Yeh Nibhaana Hai

Afsaana, Afsaana..

Yun Teri Galiyon Me Aana
Yun Tera Dil Ko Dhadkaana
Yun Mera Murshid Ho Jaana

Lamha Tha, Daur Banaaya Aapne

Kissey Ko Daastaan Banaaya Aapne

[
Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne
] –(2)

[
Pehle Toh Main Aashiq Tha
Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne
] –(2)

Afsaana, Afsaana..

Kyun Tere Aane Se Dil
Chain Yeh Paata Hai
Tere Milne Se Kuchh Pal
Aaraam Aata Hai

Baat Kuchh Pal Ki Nahi
Door Tak Hamein Jaana Hai
Faasle Bhi Hain Bohot
Phir Bhi Tumko Paana Hai

Yun Tera Har Shaam Ko Aana
Yun Mera Bas Chalte Jaana
Yun Tera Mujhko Tadpaana

Tanha Tha, Apna Banaaya Aapne

Thehra Tha, Kaarvaan Banaaya Aapne

Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne

Pehle Toh Main Aashiq Tha
Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne

Afsaana, Afsaana..

Lambi Dooriyon Ka Safar
Aasaan Nahi Tha Magar
Jiye Jaa Rahe Hain Ham Toh
Jaane Kis Ummeed Me

Aap Ho Hamaare Liye
Aapke Liye Ham Bane
Aapke Bina Dil Tanha
Zindagi Ki Bheed Me

Afsaana, Afsaana..

Yun Teri Baanhon Me Aana
Yun Mera Tabaah Ho Jaana
Yun Tera Marham Ban Jaana

Dard Tha, Dawa Banaaya Aapne

Zarra Tha, Aasmaan Banaaya Aapne

Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne

Pehle Toh Main Aashiq Tha
Afsaana, Afsaana
Afsaana Banaaya Aapne

Afsaana, Afsaana..

Himesh Reshammiya Asees Kaur
← Previous Song Next Song →