Agar Main Kahoon lyrics – Lakshya
Song | Agar Main Kahoon |
Singer(s) | Udit Narayan, Alka Yagnik |
Music | Shankar Ehsaan Loy |
Lyrics | Javed Akhtar |
Movie | Lakshya (2004) |
[Agar Main Kahoon
Mujhe Tumse Mohabbat Hai
Meri Bas Yahi Chaahat Hai
Toh Kya Kahogi?] –(2)
Main Tumse Kahungi
Is Baat Ko Agar Tum
Zara Aur Saja Ke Kehte
Zara Ghuma-Phira Ke Kehte
Toh Acchha Hota
Agar Main Kahoon
Tumko Jab Dekhu, Lagti Ho Jaise Nayi
Honth Hain Pankhdi Phool Ki
Aankhein Jaise Jugnu Chamakte Hue
Soche Mera Yeh Dil Dhadakte Hue
Agar Main Kahoon –(2)
Yeh Jo Chehra Hai
Jaise Koi Chaand Hai
Toh Kya Kahogi?
Main Tumse Kahungi
Mujhko Bhoole Se Bhi Chaand Tum Na Kaho
Chaand Me Toh Kayi Daag Hain
Mujhe Phool Na Kehna Woh Murjhaate Hain
Jugnu Bhi Na Kehna Woh Kho Jaate Hain
Yeh Baatein Puraani Hain
Jo Mujhko Sunaani Hai
Kisi Aur Adaa Se Kehte
Zara Ghuma-Phira Ke Kehte
Toh Acchha Hota
Agar Main Kahoon
Mujhe Tumse Mohabbat Hai
Meri Bas Yahi Chaahat Hai
Toh Kya Kahogi?
Agar Main Kahoon
Baatein Sunke Tumhari Main Hairaan Hoon
Jo Bhi Kehna Hai Kaise Kahoon?
Lagta Tumhe Kuchh Bhi Acchha Nahi
Sach Ko Bhi Kehti Ho Saccha Nahi
Agar Main Kahoon –(2)
Tumhe Pata Nahi Hai Kyun
Hai Pyar Mujhe Bhi Tumse
Toh Kya Kahoge?
Main Tumse Kahunga
Mere Dil Ka Hai Yeh Kehna
Humko Hai Saath Me Rehna
Yeh Dono Ke Dil Me Hai Naa
Toh Phir Kyun Kehna?
Agar Main Kahoon
Toh Main Tumse Kahungi