Do Kaliyan

Bacche Mann Ke Sacche lyrics – Lata Mangeshkar

SongBacche Mann Ke Sacche
Singer(s)Lata Mangeshkar
MusicRavi
LyricsSahir Ludhianvi
MovieDo Kaliyan (1968)

Bacche Mann Ke Sacche –(2)
Saare Jag Ki Aankh Ke Taare
Yeh Woh Nanhe Phool Hain
Jo Bhagwan Ko Lagte Pyare

Bacche Mann Ke Sacche

Khud Roothe Khud Man Jaaye
Phir Humjoli Ban Jaaye
[Jhagda Jiske Saath Kare
Agle Hi Pal Phir Baat Kare] –(2)

Inko Kisi Se Bair Nahi
Inke Liye Koi Gair Nahi
Inka Bholapan Milta Hai
Sabko Baanh Pasaare

Bacche Mann Ke Sacche
Saare Jag Ki Aankh Ke Taare
Yeh Woh Nanhe Phool Hain
Jo Bhagwan Ko Lagte Pyare

Bacche Mann Ke Sacche

Insaan Jab Tak Baccha Hai
Tab Tak Samjho Saccha Hai
Jyon Jyon Uski Umar Badhe
Mann Par Jhooth Ka Mail Chadhe

Krodh Badhe, Nafrat Ghere
Laalach Ki Aadat Ghere
Bachpan Inn Paapon Se Hatkar
Apni Umar Guzaare

Bacche Mann Ke Sacche
Saare Jag Ki Aankh Ke Taare
Yeh Woh Nanhe Phool Hain
Jo Bhagwan Ko Lagte Pyare

Bacche Mann Ke Sacche

Tann Komal Mann Sundar Hai
Bacche Badon Se Behtar Hain
Inme Chhoot Aur Chhaat Nahi
Jhoothi Jaat Aur Paat Nahi

Bhaasha Ki Takraar Nahi
Mazhab Ki Deewar Nahi
Inki Nazron Me Ek Hain
Mandir Masjid Gurudware

[Bacche Mann Ke Sacche
Saare Jag Ki Aankh Ke Taare
Yeh Woh Nanhe Phool Hain
Jo Bhagwan Ko Lagte Pyare] –(2)

Bacche Mann Ke Sacche –(2)

Similar Song Lyrics