Ek Villain

Jaise Banjaare Ko Ghar lyrics – Ek Villain

SongBanjaara
SingerMohammed Irfan
MusicMithoon
LyricsMithoon
MovieEk Villain (2014)

Jise Zindagi Dhoondh Rahi Hai
Kya Ye Wo Makaam Mera Hai
Yahan Chain Se Bas Ruk Jaaun
Kyun Dil Yeh Mujhe Kehta Hai

Jazbaat Naye Se Mile Hain
Jaane Kya Asar Yeh Hua Hai
Ek Aas Mili Phir Mujhko
Jo Qubool Kisi Ne Kiya Hai

Kisi Shaayar Ki Ghazal
Jo De Rooh Ko Sukoon Ke Pal
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Naye Mausam Ki Sehar
Ya Sard Me Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Jaise Koi Kinaara Deta Ho Sahaara
Mujhe Woh Mila Kisi Mod Par
Koi Raat Ka Taara Karta Ho Ujaala
Waise Hi Roshan Kare Woh Sheher

Dard Mere Woh Bhula Hi Gaya
Kuchh Aisa Asar Hua
Jeena Mujhe Phir Se Woh Sikha Raha

Jaise Baarish Karde Tar
Ya Marham Dard Par
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Naye Mausam Ki Sehar
Ya Sard Me Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Muskata Yeh Chehra, Deta Hai Jo Pehra
Jaane Chhupaata Kya Dil Ka Samundar
Auron Ko Toh Hardum Saaya Deta Hai
Woh Dhoop Me Hai Khada Khud Magar

Chot Lagi Hai Use
Phir Kyun Mehsoos Mujhe Ho Raha
Dil Tu Bata De
Kya Hai Iraada Tera

Main Parinda Besabar
Tha Uda Jo Darbadar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Naye Mausam Ki Sehar
Ya Sard Me Dopahar
Koi Mujhko Yun Mila Hai
Jaise Banjaare Ko Ghar

Jaise Banjaare Ko Ghar  –(3)

Similar Song Lyrics