Bekhayali lyrics – Kabir Singh
Song | Bekhayali |
Singer(s) | Sachet Tandon |
Music | Sachet-Parampara |
Lyrics | Irshad Kamil |
Movie | Kabir Singh (2019) |
Bekhayaali Me Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaroori, Yeh Sawaal Aaye
Teri Nazdeekiyon Ki Khushi Behisaab Thi
Hisse Me Faasle Bhi Tere Bemisaal Aaye
Main Jo Tumse Door Hoon
Kyun Door Main Rahu, Tera Guroor Hoon
Aa, Tu Faasla Mita, Tu Khwaab Sa Mila
Kyun Khwaab Tod Doon
Bekhayaali Me Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Judaayi De Gaya Tu, Yeh Sawaal Aaye
Thoda Sa Main Khafa Ho Gaya Apne Aap Se
Thoda Sa Tujhpe Bhi Bewajah Hi Malaal Aaye
Hai Yeh Tadpan, Hai Yeh Uljhan
Kaise Jee Loon Bina Tere
Meri Ab Sab Se Hai An-Ban
Bante Kyun Yeh Khuda Mere
Yeh Jo Log Baagh Hain, Jungle Ki Aag Hai
Kyun Aag Me Jalu
Yeh Nakaam Pyar Me, Khush Hain Yeh Haar Me
In Jaisa Kyun Banu
Raatein Dengi Bata
Neendon Me Teri Hi Baat Hai
Bhoolu Kaise Tujhe
Tu Toh Khayaalon Me Saath Hai
Bekhayaali Me Bhi Tera Hi Khayaal Aaye
Kyun Bichhadna Hai Zaroori, Yeh Sawaal Aaye
[Nazar Ke Aage Har Ek Manzar
Ret Ki Tarah Bikhar Raha Hai
Dard Tumhara Badan Me Mere
Zehar Ki Tarah Utar Raha Hai] –(2)
Aa, Zamaane Aazma Le, Rooth’ta Nahi
Faaslon Se Hausla Yeh Toot’ta Nahi
Na Hai Woh Bewafa Aur Na Main Hoon Bewafa
Woh Meri Aadaton Ki Tarah Chhoot’ta Nahi