Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai lyrics – Hanste Zakhm
Song | Betaab Dil Ki Tamanna Yehi Hai |
Singer(s) | Lata Mangeshkar |
Music | Madan Mohan |
Lyrics | Kaifi Azmi |
Movie | Hanste Zakhm (1973) |
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai –(2)
Tumhe Chaahenge, Tumhe Poojenge
Tumhe Apna Khuda Banayenge
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai
Soone-Soone Khwaabon Me
Jab Tak Tum Na Aaye The
Khushiyan Thi Sab Auron Ki
Gham Bhi Saare Paraaye The
Apne Se Bhi Chhupaayi Thi
Dhadkan Apne Seene Ki
Humko Jeena Padta Tha
Khwaahish Kab Thi Jeene Ki
Ab Jo Aa Ke Tumne
Hamein Jeena Sikha Diya Hai
Chalo Duniya Nayi Basayenge
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai
Bheegi-Bheegi Palkon Par
Sapne Kitne Sajaaye Hain
Dil Me Jitna Andhera Tha
Utne Ujaale Aaye Hain
Tum Bhi Humko Jagaana Na
Baahon Me Jo So Jaayein
Jaise Khushboo Phoolon Me
Tum Me Yun Hi Kho Jaayein
Pal Bhar Kisi Jalan Me
Kabhi Toote Na Saath Apna
Tumhe Aise Gale Lagayenge
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai
Vaade Bhi Hain, Kasmein Bhi
Beeta Waqt Ishaaron Ka
Kaise-Kaise Armaan Hain
Mela Jaise Bahaaron Ka
Saara Gulshan De Daala
Kaliyan Aur Khilao Na
Hanste-Hanste Ro Dein Hum
Itna Bhi Toh Hansaao Na
Dil Me Tumhi Base Ho
Raha Aanchal, Woh Bhar Chuka Hai
Kahan Itni Khushi Chhupayenge
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai
Tumhe Chaahenge, Tumhe Poojenge
Tumhe Apna Khuda Banayenge
Betaab Dil Ki Tamanna Yahi Hai