Chaand lyrics - Pehla Pyaar Doosri Baar
Pehla Pyaar Doosri Baar (2026)
| Song | Chaand |
| Vocals | Faheem Abdullah |
| Composition | Rochak Kohli |
| Lyrics | Gurpreet Saini |
| Movie | Pehla Pyaar Doosri Baar (2026) |
Chaand Chadh Jaaye Ya Tu Nazar Aaye
Aafaton Ki Duniya Me Kuchh Sabar Aaye
Mujhe Teri Baanhon Me Ho Karaar Aisa
Ke Barson Ke Gaye Ho Jaise Ghar Aaye
Kasmein Khila Doon Main
Ghadiyan Chhupa Doon Main
Laut Na Tu Jaaye Kahin
Wajah Mita Doon Main
Tere Hi Khayaalon Me
Kabse Laapata Hoon Main
Apni Wafa Yeh Saari
Tujhpe Luta Doon Main
Kaate Nahi Kat’te Yeh Din Tere Pyaar Me
Doob Rha Hoon Main Teri Yaadon Ke Aabshaar Me
Zaalima Yun Roz Ka De Aana Jaana Chhod Tu
Toot Hi Na Jaaye Mera Dil Intezaar Me
Chaand Chadh Jaaye Ya Tu Nazar Aaye
Aafaton Ki Duniya Me Kuchh Sabar Aaye
Mujhe Teri Baanhon Me Ho Karaar Aisa
Ke Barson Ke Gaye Ho Jaise Ghar Aaye
Behal Jaayega, Sambhal Jaayega
Yeh Dil Toh Kahin Bhi Lag Jaayega
Magar Rooh Ko Aaraam Woh
Jo Tujhse Mila, Meri Jaan
Woh Kahin Bhi Na Mil Paayega
Itna Hi Chaahu, Bas Tujhko Mana Loon Main
Main Tera Ho Jaaun, Tujhe Apna Bana Loon Main
Tere Saath Duniya Basaane Ki Hai Aarzoo
Tu Jo Maan Jaaye, Saari Khushiyan Mana Loon Main
Chaand Chadh Jaaye Ya Tu Nazar Aaye
Aafaton Ki Duniya Me Kuchh Sabar Aaye
Mujhe Teri Baanhon Me Ho Karaar Aisa
Ke Barson Ke Gaye Ho Jaise Ghar Aaye
Barson Ke Gaye Ho Jaise Ghar Aaye –(2)