Chor Bazaari Song lyrics – Love Aaj Kal (2009)
Song | Chor Bazari |
Singer(s) | Neeraj Shridhar, Sunidhi Chauhan |
Music | Pritam |
Lyrics | Irshad Kamil |
Movie | Love Aaj Kal (2009) |
Chor Bazaari Do Naino Ki
Pehle Thi Aadat Jo Hatt Gayi
Pyar Ki Jo Teri Meri
Umr Aayi Thi Woh Katt Gayi
Duniya Ki Toh Fikar Kahan Thi
Teri Bhi Ab Chinta Ghat Gayi
Tu Bhi Tu Hai, Main Bhi Main Hoon
Duniya Saari Dekh Ulat Gayi
Tu Na Jaane, Main Na Jaanu
Kaise Saari Baat Palat Gayi
Ghatni Hi Thi Yeh Bhi Ghatna
Ghat’te Ghat’te Lo Yeh Ghat Gayi
Haan, Chor Bazaari Do Naino Ki
Pehle Thi Aadat Jo Hatt Gayi
[Tareef Teri Karna
Tujhe Khone Se Darna
Haan, Bhool Gaya Ab
Tujhpe Din Me Chaar Dafa Marna] –(2)
Pyar Khumaari Utri Saari
Vaadon Ki Badali Bhi Chhat Gayi
Hum Se Main Pe Aaye Aise
Mujhko Toh Main Hi Main Ratt Gayi
Ek Hue The Do Se Dono
Dono Ki Ab Raahein Bant Gayi
Ab Koi Fikar Nahi
Gham Ka Bhi Zikar Nahi
Haan, Hota Hoon Main
Jiss Raste Pe, Aaye Khushi Wahin
Azad Hoon Main Tujhse
Azad Hai Tu Mujhse
Haan, Jo Jee Chaahe
Jaise Chaahe, Karle Aaj Yahin
Laaj Sharam Ki Chhoti Moti
Jo Thi Dori Woh Bhi Katt Gayi
Chowk Chaubare Gali Mohalle
Khole Ke Main Saari Ghoonghat Gayi
Tu Na Badli, Main Na Badla
Dilli Saari Dekh Badal Gayi
Ek Ghoont Me Duniya Daari
Ki Main Saari Samajh Nigal Gayi
Haan, Rang Biranga Paani Peeke
Seedhi Saadhi Kudi Bigad Gayi
Dekh Ke Mujhko Hansta Gaata
Sadd Gayi Yeh Duniya Sadd Gayi