Das Haasil Sau Baaki lyrics - Metro In Dino
Metro… In Dino (2025)
| Song | Das Haasil Sau Baaki |
| Vocals | Raghav Chaitanya, Neeti Mohan |
| Music | Pritam |
| Lyrics | Sandeep Shrivastava |
| Movie | Metro… In Dino (2025) |
Aankh Lagi, Khwaab Aaya
Aankh Khuli, Ghabraaya
Kuchh Khatta, Kuchh Meetha
Koi Raazi, Koi Rootha
Das Haasil, Sau Baaki
Yeh Manzil Naakaafi
Is Pal Yeh, Us Pal Woh
Kuchh Bikhra, Kuchh Toota
Sab Kuchh Mila Hai, Kuchh Na Gila Hai
Phir Bhi Yakeenan
Dil Me Tadapti Khala Hai
Ghazab Marhala Hai
Kya Taana Baana, Samjha Na Jaana
Aksar Amooman
Chadhte Hi Sooraj Dhala Hai
Ghazab Marhala Hai
Hai Fitrat Rangon Ki Rumaani Si
Hai Rang Toh Kahaani Bhi Hai
Lehar Aani Jaani Maujein Bhi Faani
Aqeedat Lafaani Si Hai
Kahin Tu, Kahin Main, Kahin Dil
Uljhan Puraani Si Hai
Zameen Aasmaan Yeh Jahan Bhi Hain Milte
Jagah Woh Ruhaani Si Hai
Isaq Ke Yeh Chakkar
Yeh Hain Noon Shakkar, Goya Mizaajan
Khud Hi Mita Faasla Hai
Haseen Marhala Hai
Yeh Jeevan Ka Pahiya
Hai Phir Ghoome, Bhaiya
Maslan Usoolan Rukne Se Chalna
Bhala Hai, Haseen Marhala Hai
Aankh Lagi, Khwaab Aaya
Aankh Khuli, Ghabraaya
Kuchh Khatta, Kuchh Meetha
Koi Raazi, Koi Rootha
Das Haasil, Sau Baaki
Yeh Manzil Naakaafi
Is Pal Yeh, Us Pal Woh
Kuchh Bikhra, Kuchh Toota
Sab Kuchh Mila Hai, Kuchh Na Gila Hai
Phir Bhi Yakeenan
Dil Me Tadapti Khala Hai
Ghazab Marhala Hai
Kya Taana Baana, Samjha Na Jaana
Aksar Amooman
Chadhte Hi Sooraj Dhala Hai
Ghazab Marhala Hai