Deewana lyrics - Darshan Raval
I Loved You (2025) EP
| Song | Deewana |
| Vocals | Darshan Raval |
| Composition | Darshan Raval |
| Lyrics | Gurpreet Saini |
| EP | I Loved You (2025) |
Likha Tumhe Dard Maine, Yaara
Tumne Padha Hi Nahi
Kaise Sambhaalu Gham Itne Saare
Ab Toh Ghar Me Jagah Hi Nahi
Dhoondha Hai Maine Shehar Ab Yeh Saara
Par Tumhara Pata Hi Nahi
Mil Jaao Naa Pal Bhar Hi Sahi
Baatein Kitni Hain Baaki Abhi
Zulfon Ko Teri Tu Chehre Pe Mere
Phir Se Bikhar Jaane De
Chaahat Bhi Aisi Buri Yeh Bala Hai
Ke Saans Bhi Na Aaye Mujhe
[
Ab Jo Milo
Karke Deewana Na Jaana Hamein
Aawaaz Do
Aake Kaho Naa Ke Ho Naa Mere
] –(2)
Toote Sitaaron Se, Mandir Mazaaron Se
Maangu Duaa Main Teri
Doobu Ya Tairu, Hai Tum Tak Hi Aana
Yeh Shiddat Hai Aisi Meri
Barson Ke Jaage Hamein Neend Aaye
Baanhein Teri Jo Mile
Chaahat Bhi Aisi Buri Yeh Bala Hai
Ke Saans Bhi Na Aaye Mujhe
Ab Jo Milo
Karke Deewana Na Jaana Hamein
Aawaaz Do
Aake Kaho Naa Ke Ho Naa Mere
Ab Jo Milo
Karke Deewana Na Jaana
Duniya Hai Zaalim Yeh
Meri Mohabbat Ko
Jhootha Fasaana Kahe
Logon Ki Parwaah Na
Gham Hai Ke Ishq Yeh
Tumko Dikha Na Sake
Rab Ki Bhi Dekho Toh
Kaise Bedardi Hai
Koi Dawa Na Kare
Kitna Bulaaun Main
Haar Na Jaaun Main
Yaara, O Sunle Mere
Kitna Lada Hoon
Magar Yeh Lakeerein Jaa Ke
Tujhse Kyun Milti Nahi
Galat Tha Jo Tera Saath Hona
Toh Kya Jaana Tera Tha Sahi