Dekha Teri Mast Nigaahon Mein lyrics
Song | Dekha Teri Mast Nigahon Mein |
Singer(s) | Kumar Sanu, Asha Bhosle |
Music | Jatin-Lalit |
Lyrics | Mahendra Dehlvi |
Movie | Khiladi (1992) |
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Nasha Hai, Adaa Hai, Mohabbat Hai
Aaja, Tujhe Baahon Me Le Loon Main
Roop Yeh Ghazab Hai, Qayaamat Hai
Dhadkanein Tez Ho Jaane Do
Pyar Me Hosh Kho Jaane Do
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Nasha Hai, Adaa Hai, Mohabbat Hai
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Yeh Husn Aur Yeh Mastiyan
Chhaane Lagi Hai Madhoshiyan
Uff, Do Dilon Ke Saaz Par
Gaane Lagi Hai Khaamoshiyan
Apni Zulfon Ki Khushboo Uda
Aur Mujhko Deewana Bana
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Nasha Hai, Adaa Hai, Mohabbat Hai
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Ruswaaiyon Se Darta Hai Mann
Acchha Nahi Deewanapan
Tune Mujhe Kyun Chhoo Liya
Kaanp Utha Mera Badan
Yun Na Dekho Mujhe, O Sanam
Dagmagaane Lage Hain Kadam
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Shokhi Hai Ghazab Ki Sharaarat Hai
Kaise Teri Baahon Me Aaun Main
Roop Yeh Sharam Ki Amaanat Hai
Pyar Yun Na Jataao, Sanam
Sharm Aati Hai, Jaao Sanam
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Shokhi Hai Ghazab Ki Sharaarat Hai
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Sun, Yeh Sama Kehta Hai Kya
Ruswaaiyon Ka Darr Bhool Ja
Dil Ko, Sanam Samjha Zara
Yun Na Mere Nazdeek Aa
Aankh Jhukne Lagi Hai Meri
Sun Ke Baatein Yeh Jadoo Bhari
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Nasha Hai, Adaa Hai, Mohabbat Hai
Dekha Teri Mast Nigaahon Me
Shokhi Hai Ghazab Ki Sharaarat Hai