Ek Baar Phir lyrics - Monali Thakur

Singles

SongEk Baar Phir
SingerMonali Thakur
ComposerMonali Thakur
WriterKunaal Vermaa
Year2025

Sajde Utre Ankhiyon Se Mere
Jab Tum Guzre Galiyon Se Mere

Bikhre Hue Dil Ko Mere
Mehka Gaye Mausam Tere

Aaya Hai Kisi Pe Yaaron Dil, Haan Ji Haan
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar Phir
Aaya Hai Kisi Pe Yaaron Dil, Haan Ji Haan
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar, Ek Baar Phir

Jaagte Rahe Raaton Me Hum
Betaab Aankhon Ko Liye
Neend Aa Gayi, Aaye Nazar
Jab Aap Khwaabon Ko Liye

Yeh Ishq Bhi Kya Cheez Hai
Is Marz Me Sab Theek Hai
Dawa Isey Na Dijiye

Tumko Dekhu Saara Din Kis Tarah
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar Phir
Aaya Hai Kisi Pe Yaaron Dil, Haan Ji Haan
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar, Ek Baar Phir

Kya Bataayein Hum Dekhe Na The
Kitne Dino Se Aayine
Tumko Soch Kar Sajne Lage
Hansne Lage Tanhaayi Me

Farma Rahe Hain Aapki
Taareef Me Kyun Shaayari
Kabhi Toh Gaur Kijiye

Tumko Dekhu Saara Din Kis Tarah
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar Phir
Aaya Hai Kisi Pe Yaaron Dil, Haan Ji Haan
Aa Gaya Hai Dil Ek Baar, Ek Baar Phir

Monali Thakur
← Previous Song Next Song →