Ek Haseena Thi lyrics – Karzzzz
Song | Ek Haseena Thi |
Singer(s) | Himesh Reshammiya, Shreya Ghoshal |
Music | Himesh Reshammiya |
Lyrics | Sameer Anjaan |
Movie | Karzzzz (2008) |
Aaj, Is Mubaarak Mauke Par
Main Aap Logon Ko
Meri Aur Kaamini Ki
Daastaan Sunaana Chaahta Hoon
Mohabbat Ki Daastaan
[Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar, Kya Sama
Kya Zamaana Tha] –(2)
Ek Din Woh Mile, Roz Milne Lage –(2)
Phir Mohabbat Hui, Bas Qayaamat Hui
Sun Ke Yeh Daastaan
Kho Gaye Tum Kahan
Log Hairaan Hain, Kyunki Anjaan Hain
Ishq Ki Woh Gali, Baat Jiski Chali
Us Gali Me Mera Aana Jaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar Thi, Kya Sama Tha
Kya Zamaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Us Haseen Ne Kaha, Suno Jaan-e-Wafa –(2)
Yeh Falak, Yeh Zameen Tere Bin Kuchh Nahi
Tujhpe Marti Hoon Main
Pyar Karti Hoon Main
Tere Bin Zindagi Kuchh Nahi, Kuchh Nahi
Aashiqui Me Unka Aalam
Kya Suhaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Kya Umar Thi, Kya Sama Tha
Kya Zamaana Tha
Ek Haseena Thi, Ek Deewana Tha
Bewafa Yaar Ne Apne Mehboob Se
Aisa Dhokha Kiya –(3)
Zehar Usko Diya –(3)
Mar Gaya Woh Jawaan –(2)
Ab Suno Daastaan
Janm Le Ke Kahin
Phir Woh Pahuncha Wahin
Shakl Anjaan Thi, Akl Hairaan Thi
[Saamna Jab Hua
Phir Wahi Sab Hua] –(2)
Uspe Yeh Karz Tha, Uska Yeh Karz Tha
Karz Toh Farz Apna Chukaana Tha