Falsafa lyrics - Prateeksha Srivastava
Singles
| Song | FALSAFA |
| Vocals | Prateeksha Srivastava |
| Composition | Prateeksha Srivastava |
| Lyrics | Prateeksha Srivastava |
| Year | 2024 |
Bheed Sawaalon Ki Hai
Khoj Jawaabon Ki Hai
Kya Hai Dikhaawa
Kya Hai Apna Aur Paraaya
Kya Pata
Shor Zamaane Ka Ya
Shor Yeh Dil Ka Hai, Pukaare Sapne Ya
Cheekhe Yeh Zimmedaariyan Kya
Kya Pata
Kya Pata Kal Ka, Aane Waale Pal Ka
Baant Lo Aaj Ko, Falsafa Har Pal Ka
Iltija Hai Raaton Se Ke
So Sakein Ham Tum Sukoon Me
Khauf Se Ho Pare
Dhalta Sooraj Kal Bhi Aaye
Roshni Ki Bhent Laaye
Aas Ki Na Ho Kami
Masoomiyat Jahan Ho Mehfooz Wahan
Aisa Jahaan Kahan, Kahan Banega
Pata Kya, Kya Pata
Kya Pata Kal Ka, Aane Waale Pal Ka
Baant Lo Aaj Ko, Falsafa Har Pal Ka