Toilet - Ek Prem Katha (2017)

Hans Mat Pagli lyrics – Toilet Ek Prem Katha

SongHans Mat Pagli
Singer(s)
Sonu Nigam, Shreya Ghoshal
ComposerVickey Prasad
LyricsSiddharth-Garima
MovieToilet – Ek Prem Katha (2017)

Jab Se Mila Hoon Tujhse
Muskuraata Rehta Hoon
Jo Bhi Milta Hai Mujhse
Sunaata Phirta Hoon

Door Rehna Is Maayajaal Se
Warna Tera Jeena Dushwaar Ho Jayega

Hans Mat Pagli, Pyar Ho Jayega –(4)

Main Toh Yeh Sochta Tha
Sochta Tha Bewajah
Khwaabon Ki Khidki Thi Band
Ab Ishq Hoga Bhi Kya

Tujhse Yun Thoda Khul Gaya Hoon Main
Yun Teri Aankhon Me Ghul Gaya Hoon Main

Jaise Paani Me Chandan Hua
Dil Ab Kuchh Bhi Karne Ko Taiyaar Ho Jayega

Hans Mat Pagli, Pyar Ho Jayega –(4)

Jaise Nadiya Main Aajkal
Balkhaati Chalti Hoon
Teri Nazar Se Darpan
Dekh Kar Nikalti Hoon

Saji Rahu Tere Khayaal Se
Toh Har Din Jaise Tyohaar Ho Jayega

Hans Mat Pagle, Pyar Ho Jayega –(4)

Tune Khola Mera Aasmaan
Ek Chaand Roshan Hua
Khaali Sa Tha Mann Mera
Taaron Ka Aangan Hua

Baaton Me Teri Kho Gayi Yun
Badla Mausam Ya Main Nayi Hoon

Kaise Door Rahu Tere Khayaal Se
Ab Har Pal Tera Intezaar Ho Jayega

[Hans Mat Pagle, Pyar Ho Jayega
Hans Mat Pagli, Pyar Ho Jayega] –(4)

Similar Song Lyrics