Humsafar lyrics - Saiyaara
Saiyaara (2025)
| Song | Humsafar |
| Vocals | Sachet Tandon, Parampara Tandon |
| Composition | Sachet–Parampara |
| Lyrics | Irshad Kamil, Prashant Pandey |
| Movie | Saiyaara (2025) |
Meri Befikri Ki Fikar Tu
Meri Saanson Ka Hai Zikar Tu
Ham Hamkadam Se Hamraah Hue
Aur Hamraah Se Hamnava Hue
Raahon Pe Teri Main Jaaun Bikhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Main Na Yeh Sochu, Hai Jaana Kidhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Tere Hawaale Hona Hai Maine
Yeh Aashiqaana Ishaara Hua
Chupke Se Teri Tamanna Jagi
Chupke Se Yeh Dil Aawaara Hua
Berang Hai Woh Jeena Yahan Pe
Kisi Ka Agar Na Sahaara Hua
Raahon Pe Teri Main Jaaun Bikhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Main Na Yeh Sochu, Hai Jaana Kidhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Ek Darr Dil Me, Dil Mushkil Me
Maanu Ya Na Maanu Main Teri Baatein
Ek Pal Yeh Bhi Lagta Hai Mujhko
Yeh Baatein Hain Chaahat Ki Saugaatein
[Dheere Dheere Tu Mere
Lafzon Me Aaya Re
Tujhko Hi Toh Chupke Se
Mann Me Gaaya Re] –(2)
Raahon Pe Teri Main Jaaun Bikhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Main Na Yeh Sochu, Hai Jaana Kidhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Vaada Ho, Sheesha Ho
Dhaaga Ho, Saansein Ho
Toote Bina, Bolo
Kab Tak Reh Lenge
Feeke Ujaalon Ke
Khwaabon Khayaalon Ke
Jhoothe Khilauno Se
Kab Tak Behlenge
Kaise Zakhmon Ko, Bata
Marham Ka Milta Achaanak Pata
Yeh Maanle
Chaahat Duniya Me Sabse
Behtar Marham Hai, Yaara
Raahon Pe Teri Main Jaaun Bikhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Main Na Yeh Sochu, Hai Jaana Kidhar
Agar Saath Mere Tu Hai Hamsafar
Baaki Abhi Hai Safar, Hamsafar
Zara Der Tu Saath Chal De Agar
Hamsafar