Itrati lyrics – Pallavi Ishpuniyani
Song | Itrati |
Singer | Pallavi Ishpuniyani |
Composer | Yug Bhusal |
Lyrics | Himanshu Kohli |
Rangon Bhari Main Titli Si
Balkhaati Hawaaon Me
Udti Patang Main, Doriyon Sang
Ghoomu Adaaon Me
Khoyi Khoyi Si Apni Dhun Me
Rehne Lagi Hoon Main
Pyar Hai Khud Se Ya Tere Se
Samajh Na Paaun Main
Taare Liye Main Bhaagti
Peechhe Mere Aasmaan
Balkhaati, Lehraati, Itraati Main Chalu –(4)
Behti Hui Nadiyon Ke Main
Kinaaron Se Milne Chali
Hone Laga Mujhpe Asar
In Behki Hawaaon Ka Bhi
Kadmon Se Main Is Ret Pe
Apne Nishaan Chhodti
In Lehron Pe Main Kaagazon
Ki Kashtiyon Me Chali
Khushiyan Jo Hain, Unko
Nikaal Ke Jebon Se
Zindagi Ko Bhi Thodi Si
Kyun Na Baant Doon
Chutki Bhar Sapne, Haan
Raaton Se Chheenu Main
Main Chulbuli, Natkhat Hoon
Haan, Itni Si Toh Baat Hai
Chamku Main Jaise Jugnu Si
In Kaali Raaton Me
Letu Main Toh Bhanwre Si
Phoolon Ki Baanhon Me
Khoyi Khoyi Si Apni Dhun Me
Rehne Lagi Hoon Main
Pyar Hai Khud Se Ya Tere Se
Samajh Na Paaun Main
Taare Liye Main Bhaagti
Peechhe Mere Aasmaan
Balkhaati, Lehraati, Itraati Main Chalu –(8)