Jashn-e-Bahaara lyrics – Jodhaa Akbar
Song | Jashn-E-Bahaaraa |
Singer(s) | Javed Ali |
Music | A.R. Rahman |
Lyrics | Javed Akhtar |
Movie | Jodhaa Akbar (2008) |
[Kehne Ko Jashn-e-Bahaara Hai
Ishq Yeh Dekh Ke Hairaan Hai] –(2)
Phool Se Khushboo Khafa Khafa Hai Gulshan Me
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Me
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhaare Hain
Aur Dil Me Koi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn-e-Bahaara Hai
Ishq Yeh Dekh Ke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo Khafa Khafa Hai Gulshan Me
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Me
Kaise Kahein, Kya Hai Sitam
Sochte Hain Ab Yeh Hum
Koi Kaise Kahe, Woh Hai Ya Nahi Hamaare
Karte Toh Hain Saath Safar
Faasle Hain Phir Bhi Magar
Jaise Milte Nahi Kisi Dariya Ke Do Kinaare
Paas Hain Phir Bhi Paas Nahi
Humko Yeh Gham Raas Nahi
Sheeshe Ki Ek Deewar Hai Jaise Darmiyan
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhaare Hain
Aur Dil Me Koi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn-e-Bahaara Hai
Ishq Yeh Dekh Ke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo Khafa Khafa Hai Gulshan Me
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Me
Humne Jo Tha Nagma Suna
Dil Ne Tha Usko Chuna
Yeh Daastaan Hamein Waqt Ne Kaisi Sunaayi
Hum Jo Agar Hain Ghamgeen
Woh Bhi Udhar Khush Toh Nahi
Mulaqaaton Me Hai Jaise Ghul Si Gayi Tanhaayi
Mil Ke Bhi Hum Milte Nahi
Khil Ke Bhi Gul Khilte Nahi
Aankhon Me Hai Bahaarein, Dil Me Khizaan
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhaare Hain
Aur Dil Me Koi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn-e-Bahaara Hai
Ishq Yeh Dekh Ke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo Khafa Khafa Hai Gulshan Me
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Me