Jee Na Paaye lyrics - Hansika Pareek, Priyankit Jaiswal

Singles

SongJee Na Paaye
Singer(s)Hansika Pareek, Priyankit Jaiswal
ComposerSagnik Kolay
WriterSoham Majumdar
Year2025

Aayina Toota Hai Ya Hai Yeh Mera Dil
Bheege Takiye Pe Dardon Ki Mehfil

Chaadaron Me Bhi Toh Silvatein Teri Hain
Mujhme Hi Bewajah Aadatein Teri Hain

Yaadon Me Tu Hi Hai
Aur Tujhse Hi Yaadein Hain

Yaadein Aayein, Tu Na Aaye
Cheekhein, Koi Sun Na Paaye
Khaali Ghar Ab Na Bhaaye
Tere Bina Jee Na Paaye

Aankhein Meri Namm Ho Jaayein
Koi Bhi Na Dekh Paaye
Kaise Ab Ham Chhupaayein
Tere Bina Jee Na Paaye –(2)

Tum Jo Kehdo Toh
Pal Me Saanson Ko Rok Loon Main
Haan, Bin Soche Rok Loon Main

Teri Baatein Saari
In Hawaaon Me Ghol Doon Main
Yun Bin Bole Ghol Doon Main

Tera Jo Haal Hai, Mera Bhi Woh Haal Hai
Phir Bhi Kyun Bewajah
Badh Rahi Yeh Dooriyan

Yaadein Aayein, Tu Na Aaye
Cheekhein, Koi Sun Na Paaye
Khaali Ghar Ab Na Bhaaye
Tere Bina Jee Na Paaye

Aankhein Meri Namm Ho Jaayein
Koi Bhi Na Dekh Paaye
Kaise Ab Ham Chhupaayein
Tere Bina Jee Na Paaye

Ke Tere Bina Jee Na Paaye..

[Na Galat Tu, Na Main Sahi Tha
Ishq Ho Ke Bhi Ishq Nahi Tha
Beeti Sadiyan, Saal Beeta
Na Tu Haara, Na Main Jeeta] –(2)

Hansika Pareek Priyankit Jaiswal
← Previous Song Next Song →