Kaanch Ke lyrics – Samira Koppikar
Song | Kaanch Ke |
Singer | Samira Koppikar |
Composer | Samira Koppikar |
Writer | Neeraj Rajawat |
Badla Nazariya Hai
Nazarein Aur Nazaarein Hain Wahi
Kal Ki Baaton Pe Aaj Humko
Kyun Aati Hai Phir Bhi Ab Hansi
Deewanepan Ki Inteha The Tum
Haan, Khaalipan Ki Bhi Dawa The Tum
Woh Asar Chaahaton Ke Na Rahe
Vaade Tere Mere Kaanch Ke
Pal Pal Ki Dhoop Ke, Chhaaon Ke
Bikhre Hain Toot Ke, Na Sil Sake
Vaade Woh Kaanch Ke
Hoge Saath Tum
Hogi Jab Shaam-e-Zindagi
Naadaan Khwaab Tha
Neend Se Jab Aankhein Khuli
Aye Kaash Ke Hum Khwaab Me Hi Jee Lete
Pehlu Me Tere Saans Aakhiri Bhi Lete
Laga Ke Taale Palkon Me Hum Tum
Un Raaston Pe Ho Jaate Jo Gum
Jaag Ke Kis Jahaan Me Aa Gaye
[Vaade Tere Mere Kaanch Ke
Pal Pal Ki Dhoop Ke, Chhaaon Ke
Bikhre Hain Toot Ke, Na Sil Sake
Vaade Woh Kaanch Ke] –(2)