Mrityudaata (1997)

Kabhi Khushiyon Ki Sargam lyrics – Mrityudaata

Song
Singer(s)Mohammed Aziz, Vinod Rathod, Alka Yagnik
MusicAnand-Milind
LyricsSameer Anjaan
MovieMrityudaata (1997)

[Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge] –(2)

Milke Ab Hum Bade Pyar Se
Zindagi Ki Kahani Likhenge

[Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge] –(2)

Milke Ab Hum Bade Pyar Se
Zindagi Ki Kahani Likhenge

Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge

Surr Saje Na Saje, Gungunaate Rahein
Dard Me Bhi Sada Muskuraate Rahein
Ek Dooje Ki Baahon Me Baithe Rahein
Saat Pheron Ki Rasmein Nibhaate Rahein

Umr Ke Iss Haseen Daur Ko Hum
Waqt Ki Meherbaani Likhenge
Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge

Raat Dhal Jayegi, Din Guzar Jayenge
Apni Palkon Pe Sapne Sanwar Jayenge
Khushboo Saanson Me Aa Ke Sama Jayengi
Phool Chaahat Ke Harsu Bikhar Jayenge

Dil Ke Mehke Hue Gulsitan Pe
Dhadkano Ki Rawaani Likhenge
Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge

Ab Kisi Mod Par Bhi Na Bichhdenge Hum
Baant Lenge Jo Aayega Koi Bhi Gham
Aaj Se Aur Abhi Se Yeh Vaada Raha
Jaan De Ke Nibhayenge Apni Kasam

Humne Socha Hai, Hum Naam Tere
Apni Yeh Zindagaani Likhenge
Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge

Milke Ab Hum Bade Pyar Se
Zindagi Ki Kahani Likhenge

[Kabhi Khushiyon Ki Sargam Likhenge
Kabhi Aankhon Ka Paani Likhenge] –(2)

Similar Song Lyrics