Duplicate (1998)

Katthai Aankhon Wali lyrics – Duplicate

Song Kathai Aankhon Wali
Singer(s) Kumar Sanu
Music Anu Malik
Lyrics Javed Akhtar
Movie Duplicate (1998)

[Katthai Aankhon Wali Ek Ladki
Ek Hi Baat Par Bigadti Hai] –(2)

Tum Mujhe Kyun Nahi Mile Pehle
Roz Keh Kar Mujhse Ladti Hai

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki
Ek Hi Baat Par Bigadti Hai
Tum Mujhe Kyun Nahi Mile Pehle
Roz Keh Kar Mujhse Ladti Hai

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki

Gusse Ki Woh Tez Hai Lekin
Dil Ki Behad Acchhi Hai
Woh Kaliyon Se Bhi Naazuk Hai
Aur Shahad Se Meethi Hai

[Chehre Par Hai Narm Ujaale
Baalon Me Kaali Raatein] –(2)

Hans De Woh Toh Moti Barse
Phoolon Jaisi Hain Baatein

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki
Ek Hi Baat Par Bigadti Hai
Tum Mujhe Kyun Nahi Mile Pehle
Roz Keh Kar Mujhse Ladti Hai

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki

Mujhko Tumse Pyar Nahi Hai
Rooth Ke Mujhse Kehti Hai
Lekin Har Kaagaz Par Mera
Naam Woh Likhti Rehti Hai

[Main Bhi Uska Deewana Hoon
Kaise Usko Samjhaaun] –(2)

Mujhse Milna Chhod De Woh Toh
Main Ek Din Me Mar Jaaun

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki
Ek Hi Baat Par Bigadti Hai
Tum Mujhe Kyun Nahi Mile Pehle
Roz Keh Kar Mujhse Ladti Hai

Katthai Aankhon Wali Ek Ladki

Similar Song Lyrics