Kehne Lagaa lyrics - Rushil Aswal
Singles
| Song | Kehne Lagaa |
| Artist | Rushil Aswal |
| Year | 2024 |
Ek Ladka Tha Ajeeb, Thi Baaton Ki Kami
Dimaag Me Uske Itni Saari Baatein Chalti
Keh Na Saka Woh Keh Na Saka
Har Baat Pe Rota Tha
Uske Liye Har Pal Ek Dhokha Tha
Phir Usne Khaayi Itni Saari Thokarein
Ki Kehne Laga Woh Kehne Laga
Lekin Ab Woh Rota Nahi
Rone Se Kya Hi Ho Jaayega
Gir Kar Ab Sambhalta Nahi
Darta Hai, Waapas Gir Jaayega
Logon Ki Ab Woh Sunta Nahi
Sunne Se Kya Koi Laut Aayega
Auron Ke Dil Kitne Bhi Ho Saaf
Ussey Behtar Usey Kaun
Jaan Paayega
Aasaan Nahi Tha Yeh
Jitna Ho Sake, Chhipaaya Tha Usne
Aur Jab Jab Uska Dil Hai
Teji Se Dhadakta, Usey Sataata
Woh Likhta Jaata
Kisi Door Desh Se Aaya Toh Na Woh
Jo Usool Bol Ke Galti Chhupa Do
Sapna Bech Ke, Door Bhej Ke
Usko Kyun Phansaaya
Usey Na Bula, Ab Woh Chala Hai Gaya
Lekin Ab Woh Rota Nahi
Rone Se Kya Hi Ho Jaayega
Gir Kar Ab Sambhalta Nahi
Darta Hai, Waapas Gir Jaayega
Logon Ki Ab Woh Sunta Nahi
Sunne Se Kya Koi Laut Aayega
Auron Ke Dil Kitne Bhi Ho Saaf
Ussey Behtar Usey Kaun
Jaan Paayega
Lekin Ab Main Rota Nahi
Rone Se Kya Hi Ho Jaayega
Gir Kar Ab Sambhalta Nahi
Darta Hoon, Waapas Gir Jaaunga
Logon Ki Ab Main Sunta Nahi
Sunne Se Kya Koi Laut Aayega
Auron Ke Dil Kitne Bhi Ho Saaf
[Mujhse Behtar Mujhe Kaun Jaan Paayega
Kya Mujhe Koi Pehchaan Paayega] –(2)
Mujhse Behtar Mujhe
Kaun Jaan Paayega