Kuchh Is Tarah lyrics – 1921
Song | Kuch Iss Tarah |
Singer(s) | Arnab Dutta |
Music | Harish Sagane |
Lyrics | Shakeel Azmi |
Movie | 1921 (2018) |
[Kuchh Is Tarah, Kuchh Is Tarah
Aye Raat, Tham Zara Kuchh Is Tarah] –(2)
Do Jism Se Ek Jaan Me
Dhal Jaayein Hum Zara
Kuchh Is Tarah
Yeh Jo Chaand Ek Lakeer
Sa Hai Aasmaan Par
Yun Hi Aankh Me Meri Rahe
Chamakta Raat Bhar
Aye Baadalon, Zara Si
Tumse Iltija Hai Yeh
Fanaa Na Ho Ummeed Ke
Sitaare Doob Kar
Kuchh Is Tarah, Kuchh Is Tarah
Aye Raat, Tham Zara Kuchh Is Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Me
Dhal Jaayein Hum Zara
Kuchh Is Tarah
Alvida Humko Kahe
Muskura Ke Maut Bhi
Thodi Si Saansein Chhupe Le
Seene Me Kahin
Jee Le, Aa Ek Raat Me
Umr Bhar Ki Zindagi
Koi Bhi Pal Reh Na Jaaye
Jeene Me Kahin
Kuchh Is Tarah, Kuchh Is Tarah
Aye Raat, Tham Zara Kuchh Is Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Me
Dhal Jaayein Hum Zara
Kuchh Is Tarah
Rooh Ki Parwaaz Pe
Hain Parinde Ishq Ke
Humko Chaahat Ki Nazar Se
Dekh, Aasmaan
Aankh Me Jo Ashk Hai
Chaand Ko Bhi Rashk Hai
Likh Rahe Hain Pyar Ki Hum
Aisi Daastaan
Kuchh Is Tarah, Kuchh Is Tarah
Aye Raat, Tham Zara Kuchh Is Tarah
Do Jism Se Ek Jaan Me
Dhal Jaayein Hum Zara
Kuchh Is Tarah