Kya Karun lyrics - Vishal Mishra
Aankhon Ki Gustaakhiyan (2025)
| Song | Kya Karun |
| Vocals | Vishal Mishra |
| Composition | Vishal Mishra |
| Lyrics | Vishal Mishra |
| Movie | Aankhon Ki Gustaakhiyan (2025) |
Tujhse Mile, Phir Se Laga
Ke Riha Ho Gaye
Thode The, Phir Jaise
Bepanaah Ho Gaye
Barson Ka Aadha Poora Ho Jaaye
Aisa Mehsoos Hai Ho Raha
Dil Karle Beimaani
Tere Sang Ho Jaaye, Lag Raha
Kya Karu, Kya Karu, Kya Karu
Safar Chunu, Ya Ghar Chunu
Kya Karu?
Ham Ret Se Phisle Magar
Haathon Me Ab Tak
Chamak Hai Teri
Saalon Se Thi Raatein Yahan
Aane Se Tere Hui Roshani
Mujhko Pata Hai
Galat Hai Yeh Shaayad
Magar
Jab Jab Haathon Me
Usne Thaama Hai
Tere Baare Me Tha Sochta Dil
Kar Lein Beimaani
Tere Sang Ho Jaayein
Laapata
Kya Karu, Kya Karu, Kya Karu
Safar Chunu, Ya Ghar Chunu
Kya Karu?
Main Kya Karu
Main Kya, Main Kya Karu
Kya Karu
Bolo Naa, Main Kya Karu
Main Kya Karu?