Naamumkin lyrics - Varun Jain, Shreya Ghoshal
Maalik (2025)
| Song | Naamumkin |
| Singer(s) | Varun Jain, Shreya Ghoshal |
| Music | Sachin–Jigar |
| Lyrics | Amitabh Bhattacharya |
| Movie | Maalik (2025) |
[
Hai Naamumkin, Hai Naamumkin
Bina Tere Mera Hona Hai Naamumkin
] –(2)
Yeh Ankaha Sa Jo Vaada Hai
Aadha Mera, Tera Aadha Hai
Tujh Bin Beimaani Si Raatein Hain
Tu Na Ho Toh Khaamakhaa
Ke Hain Yeh Din
Hai Naamumkin, Hai Naamumkin –(2)
Bina Tere Mera Hona Hai Naamumkin –(2)
Teri Khaatir Toh Kya Kya
Main Karna Chaahta Hoon
Tere Sapno Me Rang Saaton
Main Bharna Chaahta Hoon
Yakeen Na Ho Agar Toh
Mujhe Tu Aazmaa Le
Teri Har Aazmaaish Se
Guzarna Chaahta Hoon
Haan, Tujhko Kuchh Saabit Na Karna Hai
Bas, Meri Jaan Itna Karna Hai
Ab Se Kareeb Hi Rehna Hai
Meri Nazar Yeh Chehra Hataaye Bin
Hai Naamumkin, Hai Naamumkin –(2)
Bina Tere Mera Hona Hai Naamumkin –(2)