Nikle The Kabhi Hum Ghar Se lyrics – Dunki
Song | Nikle The Kabhi Hum Ghar Se |
Singer | Sonu Nigam |
Composer | Pritam |
Lyrics | Javed Akhtar |
Movie | Dunki (2023) |
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Me
Kya Karein Hum Aise Dil Ka
Badi Door Se Aaye Hain
Badi Der Se Aaye Hain
Par Yeh Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain
Kat Jaaye Patang Jaise
Aur Bhatke Hawaaon Me
Sach Poochho Toh Aise
Din Humne Bitaaye Hain
Par Yeh Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain
Yahi Nagar, Yahi Hai Basti
Aankhein Thi Jisey Tarasti
Yahan Khushiyan Thi Kitni Sasti
Jaani-Pehchaani Galiyan
Lagti Hai Puraani Sakhiyan
Kahan Kho Gayi Woh Rangraliyan
Bazaar Me Chai Ke Dhaabe
Bekaar Ke Shor-Sharaabe
Woh Dost, Woh Unki Baatein
Woh Saare Din, Sab Raatein
Kitna Gehra Tha Gham
In Sab Ko Khone Ka
Yeh Keh Nahi Paaye Hum
Dil Me Hi Chupaaye Hain
Par Yeh Na Koi Samjhe
Hum Log Paraaye Hain
Nikle The Kabhi Hum Ghar Se
Ghar Dil Se Magar Nahi Nikla
Ghar Basa Hai Har Dhadkan Me
Kya Karein Hum Aise Dil Ka
Kya Humse Hua, Kya Ho Na Saka
Par Itna Toh Karna Hai
[Jis Dharti Pe Janme The
Us Dharti Pe Marna Hai] –(2)