Paagal Parindey lyrics – The Kerala Story
Song | Pagal Parindey |
Singer(s) | Sunidhi Chauhan |
Composer | Bishakh Jyoti |
Writer | Ozil Dalal |
Movie | The Kerala Story (2023) |
[Na Zameen Mili, Na Falak Mila
Hai Safar Me Andha Parinda
Jis Raah Ki Manzil Nahi
Wahin Kho Gaya Ho Ke Gumraah] –(2)
Hawa Gaaon Ki Ab Bhi Dhoondh Rahi
Bebas Aankhein Yeh Dhundhli Hoti Rahi
Na Bola Kuchh, Na Kuchh Kaha
Koi Jaata Hai Kya Is Tarah
Na Zameen Mili, Na Falak Mila
Hai Safar Me Andha Parinda
Jis Raah Ki Manzil Nahi
Wahin Kho Gaya Ho Ke Gumraah
Zindaan Ko Udaan Samajh Baitha
Ek Baar Bhi Mud Ke Na Dekha
Hare Pedon Ki Shaakhein Chhod Aaya
Maasoom Ko Kisne Behkaaya
Hariyaali Woh Yaadon Me Aati Rahi
Raahein Taqreerein Roz Sunaati Rahi
Na Duaa Mili, Na Mila Khuda
Hua Kaid Paagal Parinda
Na Zameen Mili, Na Falak Mila
Hai Safar Me Andha Parinda
Jis Raah Ki Manzil Nahi
Wahin Kho Gaya Ho Ke Gumraah
Zehan Me Kisne Zeher Daala
Rooh Pe Keher Kar Daala
Jhoothi Tasveer Dikha Ke Mazhab Ki
Kambakht Insaan Badal Daala
Dozakh Ki Taraf, Haaye Nadaan Chali
Jannat Gaaon Me Thi Acchhi-Bhali
Aankhein Khuli Toh Sab Dikha
Gumnaam Hai Yeh Parinda
Na Zameen Mili, Na Falak Mila
Hai Safar Me Andha Parinda
Jis Raah Ki Manzil Nahi
Wahin Kho Gaya Ho Ke Gumraah