Pal Pal lyrics - Afusic
Singles
| Song | Pal Pal |
| Singer | Afusic |
| Composer | Afusic |
| Writer | Afusic |
| Year | 2025 |
Pal Pal Jeena Muhaal Mera Tere Bina
Yeh Saare Nashe Bekaar
Teri Aankhon Ke Siwa
Ghar Nai Jaata, Main Baahar
Rehta Tera Intezaar
Mere Khwaabon Me Aana
Karke Solah Singaar
Main Ab Kyun Hosh Me Aata Nai
Sukoon Yeh Dil Kyun Paata Nai
Kyun Todu Khud Se Jo The Vaade
Ke Ab Yeh Ishq Nibhaana Nai
Main Modu Tumse Jo Yeh Chehra
Dobaara Nazar Milaana Nai
Yeh Duniya Jaane Mera Dard
Tujhe Yeh Nazar Kyun Aata Nai
Soniya, Yun Tera Sharmaana
Meri Jaan Na Le Le
Kaan Ke Peechhe Zulf Chhupaana
Meri Jaan, Kya Kehne
Zaalima, Tauba Tera Nakhra
Iske Vaar, Kya Kehne
Thaam Ke Baithe Dil Ko Ghaayal
Kahin Haar Na Baithein
Teri Nazrein Mujhse Kya Kehti Hain
Inme Wafa Behti Hai
Thodi Thodi Si Raazi
Thodi Si Khafa Rehti Hai
Log Hain Zaalim Bade
Inme Jafa Dekhi Hai
Yeh Duniya Teri Nai
Maine Tujhme Haya Dekhi Hai
Jeena Muhaal Mera Tere Bina
Yeh Saare Nashe Bekaar
Teri Aankhon Ke Siwa
Ghar Nai Jaata, Main Baahar
Rehta Tera Intezaar
Mere Khwaabon Me Aana
Karke Solah Singaar