Promise lyrics - Aditya Rikhari
Singles
| Song | Promise |
| Vocals | Aditya Rikhari |
| Composition | Aditya Rikhari |
| Lyrics | Aditya Rikhari |
| Year | 2026 |
Ishq Bhi Yaar Bala Hai
Hamne Karke Dekha Hai
Jiske Sadke Jeete The
Uspe Mar Ke Dekha Hai
Deedaar Se Jinke Yeh
Aankhein Roshan Hoti Thi
Unki Tasveeron Ko Yun
Aankhein Bhar Ke Dekha Hai
Umr Bhar Ka Iraada Tha
Mera Ishq Haisiyat Se Bhi Zyada Tha
Jinka Aana Lakeeron Me Hi Na Hai
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha –(2)
Mera Ishq Haisiyat Se Bhi Zyada Tha
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha
Deedaar De, O Yaara –(2)
Phoonk De Jaan Is Dil Me
Ya Maar De, O Yaara
Ham Toh Fanaa Ho Ke Bhi
Bekaar The, O Yaara
Phoonk De Jaan Is Dil Me
Ya Maar De, O Yaara
[Ishq Khayaalon Me Bunta Mile
Yeh Dil Pyaalon Me Gum Sa Mile] –(2)
Yeh Toh Hamaari Thi Taqdeer Par
Unko Na Koi Bhi Un Sa Mile
Woh Jo Aadat Puraani Thi Is Dil Ki
Kar Gayi Jo Zakhm, Thoda Zyada Tha
Jinka Aana Lakeeron Me Hi Na Hai
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha –(2)
Mera Ishq Haisiyat Se Bhi Zyada Tha
Unse Aaj Milne Ka Vaada Tha
Deedaar De, O Yaara –(2)
Phoonk De Jaan Is Dil Me
Ya Maar De, O Yaara
Ham Toh Fanaa Ho Ke Bhi
Bekaar The, O Yaara
Phoonk De Jaan Is Dil Me
Ya Maar De, O Yaara