Mughal-e-Azam (1960)

Pyar Kiya To Darna Kya lyrics – Mughal-e-Azam

SongPyar Kiya To Darna Kya
Singer(s)Lata Mangeshkar
MusicNaushad
LyricsShakeel Badayuni
MovieMughal-e-Azam (1960)

Insaan Kisi Se Duniya Me
Ek Baar Mohabbat Karta Hai

Iss Dard Ko Le Kar Jeeta Hai
Iss Dard Ko Le Kar Marta Hai

Pyar Kiya Toh Darna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Koi Chori Nahi Ki, Pyar Kiya

Pyar Kiya Koi Chori Nahi Ki
Chhup-Chhup Aahein Bharna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Toh Darna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

[Aaj Kahenge Dil Ka Fasaana
Jaan Bhi Le Le Chaahe Zamaana] –(2)

Maut Wahi Jo Duniya Dekhe –(2)
Ghut-Ghut Kar Yun Marna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Toh Darna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

[Unki Tamanna Dil Me Rahegi
Shamma Isi Mehfil Me Rahegi] –(2)

Ishq Me Jeena, Ishq Me Marna –(2)
Aur Humein Ab Karna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Toh Darna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

[Chhup Na Sakega Ishq Humara
Chaaron Taraf Hai Unka Nazaara] –(2)

Parda Nahi Jab Koi Khuda Se –(2)
Bandon Se Parda Karna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Toh Darna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya

Pyar Kiya Koi Chori Nahi Ki
Chhup-Chhup Aahein Bharna Kya
Jab Pyar Kiya Toh Darna Kya –(2)

Similar Song Lyrics