Muqaddar Ka Sikandar (1978)

Salaam-e-Ishq Meri Jaan lyrics – Muqaddar Ka Sikandar

SongSalam-e-Ishq Meri Jaan
Singer(s)Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
MusicKalyanji–Anandji
LyricsPrakash Mehra
MovieMuqaddar Ka Sikandar (1978)

Ishq Waalon Se Na Poochho
Ke Unki Raat Ka Aalam
Tanha Kaise Guzarta Hai

Juda Ho Humsafar Jiska
Woh Usko Yaad Karta Hai
Na Ho Jiska Koi, Woh
Milne Ki Fariyaad Karta Hai

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo –(2)
Tum Humse Pyar Karne Ki Zara Si Bhool Karlo

Mera Dil Bechain Hai

Mera Dil Bechain Hai Humsafar Ke Liye –(2)

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo
Tum Humse Pyar Karne Ki Zara Si Bhool Karlo

Mera Dil Bechain Hai Humsafar Ke Liye –(2)

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo

Main Sunaaun Tumhe Baat Ek Raat Ki –(2)
Chaand Bhi Apni Poori Jawaani Pe Tha
Dil Me Toofaan Tha, Ek Armaan Tha
Dil Ka Toofaan Apni Rawaani Pe Tha

Ek Baadal Udhar Se Chala Jhoom Ke –(2)
Dekhte Dekhte Chaand Par Chhaa Gaya
Chaand Bhi Kho Gaya Uski Aagosh Me
Uff, Yeh Kya Ho Gaya Josh Hi Josh Me

Mera Dil Dhadka

Mera Dil Tadpa Kisi Ki Nazar Ke Liye –(2)

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo

Iske Aage Ki Ab Daastaan Mujhse Sun
Sun Ke Teri Nazar Dabdaba Jaayegi
Baat Dil Ki Jo Ab Tak Tere Dil Me Thi
Mera Daawa Hai, Honthon Pe Aa Jaayegi

Tu Maseeha Mohabbat Ke Maaron Ka Hai
Maseeha..
Maseeha Mohabbat Ke Maaron Ka Hai

Tu Maseeha Mohabbat Ke Maaron Ka Hai
Hum Tera Naam Sun Ke Chale Aaye Hain
Ab Dawa De Hamein Ya Tu De De Zehar
Teri Mehfil Me Yeh Diljale Aaye Hain

Ek Ehsaan Kar.. Ehsaan Kar

Ek Ehsaan Kar Apne Mehmaan Par
Apne Mehmaan Par Ek Ehsaan Kar

De Duaayein, De Duaayein Tujhe
Umr Bhar Ke Liye
De Duaayein Tujhe Umr Bhar Ke Liye

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo
Tum Humse Pyar Karne Ki Zara Si Bhool Karlo

Mera Dil Bechain Hai Humsafar Ke Liye –(2)

Salaam-e-Ishq, Meri Jaan Zara Qubool Karlo

Similar Song Lyrics