So Gaya Yeh Jahaan lyrics – Tezaab
Song | So Gaya Yeh Jahan |
Singer(s) | Nitin Mukesh, Alka Yagnik, Shabbir Kumar |
Music | Laxmikant-Pyarelal |
Lyrics | Javed Akhtar |
Movie | Tezaab (1988) |
So Gaya Yeh Jahaan, So Gaya Aasmaan –(2)
[So Gayi Hain Saari Manzilein
O Saari Manzilein
So Gaya Hai Rasta
So Gaya Yeh Jahaan, So Gaya Aasmaan] –(2)
[Raat Aayi Toh Woh Jinke Ghar The
Woh Ghar Ko Gaye, So Gaye
Raat Aayi Toh Hum Jaise Aawara
Phir Nikle Raahon Me Aur Kho Gaye] –(2)
Is Gali, Us Gali, Is Nagar, Us Nagar
Jaayein Bhi Toh Kahan
Jaana Chaahein Agar
Ho.. So Gayi Hain Saari Manzilein
O Saari Manzilein, So Gaya Hai Rasta
So Gaya Yeh Jahaan, So Gaya Aasmaan –(2)
Kuchh Meri Suno, Kuchh Apni Kaho
Ho Paas Toh Aise Chup Na Raho
Hum Paas Bhi Hain Aur Door Bhi Hain
Aazaad Bhi Hain, Majboor Bhi Hain
Kyun Pyar Ka Mausam Beet Gaya
Kyun Humse Zamaana Jeet Gaya
Har Ghadi Mera Dil
Gham Ke Ghere Me Hai
Zindagi Door Tak Ab
Andhere Me Hai –(3)
Ho.. So Gayi Hain Saari Manzilein
O Saari Manzilein, So Gaya Hai Rasta
So Gaya Yeh Jahaan, So Gaya Aasmaan –(2)