Sundari Ke Pyar Mein lyrics - Param Sundari

Param Sundari (2025)

SongSundari Ke Pyar Mein
VocalsSumonto Mukherjee
CompositionSachin–Jigar
LyricsAmitabh Bhattacharya
MovieParam Sundari (2025)

[
Kya Uttar, Kya Dakshin, Yaaron
Dil Ke Kaarobaar Me
Hukka Paani Le Ke
Pad Gaye Sundari Ke Pyaar Me
] –(2)

Hey, Chakde Phatte, Napde Killi
Baandh Ke Sehra Bol, Hadippa

[
Bade Se Bade, Raahon Me Khade
Aashiqon Ko Chakma De Jaayega
Hero Apna Ghodi Chadhke
Haq Se Dulhaniya Le Jaayega
] –(2)

Jodiyan Banti Hain Aasmaano Me Toh
Neeche Dharti Pe Itne Bakhede Hain Kyun
Pyaar Ke Raahi Toh Ekdam Seedhe Hain
Pyaar Ke Raste Utne Hi Tedhe Hain Kyun

Prem Ki Naiyya Phansti Hi
Phansti Hai Kyun Majhdhaar Me
Hukka Paani Le Ke
Pad Gaye Sundari Ke Pyaar Me

Hey, Chakde Phatte, Napde Killi
Baandh Ke Sehra Bol, Hadippa

[
Bade Se Bade, Raahon Me Khade
Aashiqon Ko Chakma De Jaayega
Hero Apna Ghodi Chadhke
Haq Se Dulhaniya Le Jaayega
] –(2)

Ishq Farmaaya Hai, Jispe Dil Aaya Hai
Uske Ghar Waalon Ki Bhi Khushaamad Karo
Ji Huzoori Se Hi Milni Manzoori Hai
Unki Sharton Ko Bilkul Mana Mat Karo

Ooparwaala Basta Hai
Dulhan Ke Rishtedaar Me
Hukka Paani Le Ke
Pad Gaye Sundari Ke Pyaar Me

Kya Uttar, Kya Dakshin, Yaaron
Dil Ke Kaarobaar Me
Hukka Paani Le Ke
Pad Gaye Sundari Ke Pyaar Me

Hey, Chakde Phatte, Napde Killi
Baandh Ke Sehra Bol, Hadippa

[
Bade Se Bade, Raahon Me Khade
Aashiqon Ko Chakma De Jaayega
Hero Apna Ghodi Chadhke
Haq Se Dulhaniya Le Jaayega
] –(2)

Sumonto Mukherjee
← Previous Song Next Song →