Tere Bina Jee Na Paaye lyrics - Hansika, Priyankit

Singles

SongTere Bina Jee Na Paaye
Singer(s)Hansika Pareek, Priyankit Jaiswal
ComposerSagnik Kolay
WriterSoham Majumdar
Year2026

Ke Tere Bina, Tere Bina..

Chanda Ke Aane Se Raat Hamaari Hai
Neend Aa Jaaye Toh
Khwaabon Ki Baari Hai

Khwaab Jo Toota Toh Gehra Andhera Hai
Palkon Ke Saaye Me Chehra Yeh Tera Hai

Yaadon Me Tu Hi Hai
Aur Tujhse Hi Yaadein Hain

Yaadein Aayein, Tu Na Aaye
Cheekhein, Koi Sun Na Paaye
Khaali Ghar Ab Na Bhaaye
Tere Bina Jee Na Paaye

Aankhein Meri Namm Ho Jaayein
Koi Bhi Na Dekh Paaye
Kaise Ab Ham Chhupaayein
Tere Bina Jee Na Paaye –(2)

Tum Jo Kehdo Toh
Pal Me Saanson Ko Rok Loon Main
Haan, Bin Soche Rok Loon Main

Haan.. Teri Baatein Saari
In Hawaaon Me Ghol Doon Main
Yun Bin Bole Ghol Doon Main

Tera Jo Haal Hai
Mera Bhi Woh Haal Hai
Phir Bhi Kyun Bewajah
Badh Rahi Yeh Dooriyan

Yaadein Aayein, Tu Na Aaye
Cheekhein, Koi Sun Na Paaye
Khaali Ghar Ab Na Bhaaye
Tere Bina Jee Na Paaye

Aankhein Meri Namm Ho Jaayein
Koi Bhi Na Dekh Paaye
Kaise Ab Ham Chhupaayein
Tere Bina Jee Na Paaye

Ke Tere Bina Jee Na Paaye
Ke Tere Bina..

Hansika Pareek Priyankit Jaiswal
← Previous Song Next Song →