Tere Naam Ka Diwana lyrics
Suraj Aur Chanda (1973)
| Song | Tere Naam Ka Diwana |
| Singer(s) | Mohammed Rafi |
| Music | Laxmikant–Pyarelal |
| Lyrics | Anand Bakshi |
| Movie | Suraj Aur Chanda (1973) |
[Tere Naam Ka Deewana
Tere Ghar Ko Dhoondta Hai] –(2)
Jis Nazar Pe Dil Fida Hai
Us Nazar Ko Dhoondta Hai
Tere Naam Ka Deewana
Tere Ghar Ko Dhoondta Hai
[Aawaz Dil Ki Pehchaan Le
Main Kaun Hoon, Tu Yeh Jaan Le] –(2)
Ek Raat Ka Sitaara
Ek Seher Ko Dhoondta Hai
Tere Naam Ka Deewana
Tere Ghar Ko Dhoondta Hai
[Jaan-e-Wafa, O Jaan-e-Jigar
Yeh Zindagi Toh Hai Ek Safar] –(2)
Is Safar Me Ek Musafir
Humsafar Ko Dhoondta Hai
Tere Naam Ka Deewana
Tere Ghar Ko Dhoondta Hai
[Phoolon Me Jaise Hain Rang-O-Boo
Mujhko Chhupa Le Aankhon Me Tu] –(2)
Mera Dil Tadap Tadap Kar
Dilbar Ko Dhoondta Hai
Tere Naam Ka Deewana
Tere Ghar Ko Dhoondta Hai
Jis Nazar Pe Dil Fida Hai
Us Nazar Ko Dhoondta Hai –(3)