Tu Hawa Hai Fiza Hai lyrics – Fiza
Song | Tu Fiza Hai |
Singer(s) | Prashant Samaddar, Sonu Nigam, Alka Yagnik |
Music | Anu Malik |
Lyrics | Gulzar |
Movie | Fiza (2000) |
Fiza Fiza Fiza, Hey.. Fiza!
Tu Hawa Hai Fiza Hai
Zameen Ki Nahi
Tu Ghata Hai Toh Phir Kyun
Barasti Nahi
Udti Rehti Hai Tu
Panchhiyon Ki Tarah
Aa Mere Aashiyaane Me Aa
Tu Hawa Hai Fiza Hai
Zameen Ki Nahi
Tu Ghata Hai Toh Phir Kyun
Barasti Nahi
Udti Rehti Hai Tu Panchhiyon Ki Tarah
Aa Mere Aashiyaane Me Aa
Main Hawa Hoon
Kahin Bhi Theherti Nahi
Ruk Bhi Jaaun Kahin Par
Toh Rehti Nahi
Maine Tinke Uthaaye Hue Hain
Paron Par Aashiyaana Nahi Hai Mera
Ghane Ek Ped Se Mujhe
Jhonka Koi Le Ke Aaya Hai
Sookhe Ik Patte Ki Tarah
Hawa Ne Har Taraf Udaaya Hai
Aa Naa Aa, Hey.. Aa Naa Aa
Ik Dafa Is Zameen Se Uthein
Paaon Rakhein Hawa Par
Zara Sa Udein
Chal Chalein Hum Jahan
Koi Rasta Na Ho
Koi Rehta Na Ho
Koi Basta Na Ho
Kehte Hain Aankhon Me
Milti Hai Aisi Jagah
Fiza Fiza..
Main Hawa Hoon
Kahin Bhi Theherti Nahi
Ruk Bhi Jaaun Kahin Par
Toh Rehti Nahi
Maine Tinke Uthaaye Hue Hain
Paron Par Aashiyaana Nahi Hai Mera
Tum Mile Toh Kyun Laga Mujhe
Khud Se Mulaqaat Ho Gayi
Kuchh Bhi Toh Kaha Nahi Magar
Zindagi Se Baat Ho Gayi
Aa Naa Aa, Hey.. Aa Naa Aa
Saath Baithein Zara Der Toh
Haath Thaame Rahein Aur
Kuchh Na Kahein
Chhoo Ke Dekhe Toh
Aankhon Ki Khaamoshiyan
Kitni Chup Chaap Hoti Hai
Sargoshiyan
Sunte Hain Aankhon Me
Hoti Hai Aisi Sada
Fiza Fiza..
Tu Hawa Hai Fiza Hai
Zameen Ki Nahi
Tu Ghata Hai Toh Phir Kyun
Barasti Nahi
Udti Rehti Hai Tu
Panchhiyon Ki Tarah
Aa Mere Aashiyaane Me Aa
Main Hawa Hoon
Kahin Bhi Theherti Nahi
Ruk Bhi Jaaun Kahin Par
Toh Rehti Nahi
Maine Tinke Uthaaye Hue Hain
Paron Par Aashiyaana Nahi Hai Mera