Tu Hain Toh Main Hoon lyrics – Sky Force
Song | Tu Hain Toh Main Hoon |
Singer(s) | Arijit Singh, Afsana Khan |
Composer | Tanishk Bagchi |
Lyrics | Irshad Kamil |
Movie | Sky Force (2025) |
Subah Subah, Subah Subah Teri Yaadein
Subah Subah, Subah Subah Din Bana De
Tu Meri Khidkiyon Pe Bikhre Din Ban Ke
Tu Mujhpe Dhoop Sa Hai Girta Chhan Chhan Ke
Chhan Chhan Ke..
Tu Ishq Hai Toh Main Baanhon Me Hoon
Baanhon Me Hoon Toh Panaahon Me Hoon
Kaajal Hoon Toh Main Nigaahon Me Hoon
Tu Hai Toh Main Hoon
Kasmein Vaade Kyun, Tu Hai Toh Main Hoon
Bas Me Tera Hoon, Tu Hai Toh Main Hoon
Seene Pe Likh Loon, Tu Hai Toh Main Hoon
Tu Hai Toh Main Hoon
Ek Mutthi Khwaahishon Ki
Tere Aage Khol Ke
Zindagi Bhar Chup Rahunga
Baatein Dil Ki Bol Ke
Na Tere Saaye Pe Bhi Aaye
Koi Aanch, Duaa Maangu
Main Sadke Me Tere Apni Khushi
De Dunga Tol Ke
Subah Subah, Subah Subah Teri Yaadein
Subah Subah, Subah Subah Din Bana De
Main Tera Shauq Hoon, Aa Poora Kar Mujhko
Dobaara Phir Kahu, Aa Poora Kar Mujhko
Haq Tujhko..
Tu Rang, Main Teri Pehchaan Hoon
Pehchaan Hoon Main Teri Jaan Hoon
Main Koi Tera Hi Armaan Hoon
Tu Hai Toh Main Hoon
Rasmon Ko Bhoolu, Tu Hai Toh Main Hoon
Main Tujhme Jee Loon, Tu Hai Toh Main Hoon
Seene Pe Likh Loon, Tu Hai Toh Main Hoon
Tu Hai Toh Main Hoon
Jhoothe Judaaiyan, Jhoothe Vichhode
Yaad Kisi Ka Haath Na Chhode
Yaad Kahe Yeh Hamse Aksar
Tu Hai Toh Main Hoon…