Tu Jahaan lyrics - Aditya Rikhari
Dacoit: A Love Story (2026)
| Song | Tu Jahaan |
| Vocals | Aditya Rikhari |
| Composition | Bheems Ceciroleo |
| Lyrics | VAYU |
| Movie | Dacoit: A Love Story (2026) |
Tu Jahan Le Chale, Main Chala –(2)
Tu Paas Hai Phir Se Mere Toh
Main Sochu Yahi
Jo Khwaab Yeh Toote Toh Tujhko
Na Kho Doon Kahin
Pehle Bhi Toh Haara Hoon Aise
Main Karke Yakeen
Main Jaanta Jisko Tha Pehle
Kya Woh Tu Nahi
Apne Dil Se Beghar Hoon Main
Arson Baad Jaise Khud Se
Mila Hoon Main
Sehra Jaisa Banjar Hoon Main
Teri Baarishon Me Aaj
Phir Khila Hoon Main
Dooba Hoon, Thaam Meri Baanh
Teri Raah Mujhe Le Jaayein Jahan
Tu Jahan Le Chale, Main Chala –(2)
[Haan Bhi Teri Hai, Na Bhi Teri Hai
Mann Me Mere
Marziyan Bhi Teri Hai] –(2)
Tanha Sa Jiya, Uljha Sa Jiya
Bewajah Sa Jiya Tere Bin
Dil Ki Yeh Meri Uljhan Suljhe
Jo Samjhe Tu
Aankhon Me Jo Jam Gaye The
Woh Gham Ban Shabnam Beh Gaye
Phir Se Na Mujhko Gham De Tu
Sach Toh Hai Yeh Ke
Tu Jo Maange, Jaan Hai Aage
Toote Na Phir Kabhi Yeh
Khushi Ke Dhaage
Main Chala Hoon Tere Yakeen Pe
Na Chhode Tu Phir Kahin Pe
Tu Jahan Le Chale, Main Chala –(2)
[Haan Bhi Teri Hai, Na Bhi Teri Hai
Mann Me Mere
Marziyan Bhi Teri Hai] –(2)